Hijrat Ka Doosra Saal

Saatwa Baab
Hijrat Ka Doosra Saal
Sana 2 Hijri
Sana 1 Hijri Ki Tarah Sana 2 Hijri Mein Bhi Bahut Se
Aham Waqiyaat Wuqu Pazeer Hue Jin Mein Se Chand Bade
Bade Waqiyaat Ye Hain :
Qible Ki Tabdeeli
Jab Tak Huzoor  Makke Mein Rahe

Khana -e- Kaaba Ki Taraf Moonh Kar Ke Namaz Padhte Rahe
Magar Hijrat Ke Baad Jab Aap Madina -e- Munawwara
Tashreef Laaye To Khudawande Ta’ala Ka Ye Huk Hua Ke Apni
Namazo Mein Baitul Muqaddas Ko Apna Qibla Banayein,
Chunanche Aap Solah Ya Satrah Mahine Tak Baitul Muqaddas
Ki Taraf Rukh Kar Ke Namaz Padhte Rahe Magar Aap Ke Dil
Ki Tamanna Yahi Thi Ke Kaaba Hi Ko Qibla Banaya Jaaye,
Chunanche Aap Aksar Aasman Ki Taraf Chehra Utha Utha Kar
Iske Liye Wahi -e- Ilahi Ka Intezar Farmate Rahe Yahan Tak Ke
Ek Din Allah Ta’ala Ne Apne Habeeb َ  Ki Qalbi

Aarzu Poori Farmane Ke Liye Quran Ki Ye Aayat Naazil Farma
Di Ke :

Hum Dekh Rahe Hain Baar Baar Aap Ka Aasman Ki Taraf
Moonh Karna To Hum Zaroor Aap Ko Pher Denge Us Qible
Ki Taraf Jis Mein Aap Ki Khushi Hai To Abhi Aap Pher Dijiye
Apna Chehra Masjide Haraam Ki Taraf (Baqarah:144)
Chunanche Huzoore Aqdas Qabila -eBani Salamah Ki Masjid Mein Namaze Zohar Padha Rahe The

Ke Halate Namaz Hi Mein Ye Wahi Nazil Hui Aur Namaz Hi
Mein Aap Ne Baitul Muqaddas Se Mud Kar Khana -e- Kabah
Ki Taraf Apna Chehra Kar Liya Aur Tamam Muqtadiyo Ne Bhi

 

Aap Ki Pairwi Ki, Is Masjid Ko Jahan Ye Waqiya Pesh Aaya
“Masjidul Qiblatain” Kehte Hain Aur Aaj Bhi Ye Tarikhi Masjid
Ziyarat Gaahe Khawaso Awaam Hai Jo Shehre Madina Se
Taqreeban 2 Kilometer Door Janibe Shimaal Maghrib Waaqe
Hai
Is Qibla Badalne Ko Tehweele Qibla Kehte Hain,
Tehweele Qibla Se Yahoodiyo Ki Badi Sakht Takleef Pahunchi
Jab Tak Huzoor

ٰ
Baitul Muqaddas Ki Taraf
Rukh Kar Ke Namaz Padhte Rahe To Yahoodi Bahut Khush The
Aur Fakhr Ke Saath Kehte The Ke Muhammad َم
َّ

Bhi Humare Hi Qible Ki Taraf Rukh Kar Ke Ibadat Karte Hain
Magar Jab Qibla Badal Gaya To Yahoodi Is Qadar Barham Aur
Naraaz Ho Gaye Ke Wo Ye Taana Dene Lage Ke Muhammad
Chunki Har Baat Mein Humari Mukhalafat Karte Hain To Isliye
Inhone Mahaz Humari Mukhalafat Mein Qibla Badal Diya Hai,
Isi Tarah Munafiqeen Ka Gurauh Bhi Tarah Tarah Ki Nukta
Cheeni Aur Qism Qism Ke Aitrazaat Karne Laga To In Dono
Gurauh Ki Zubaan Bandi Aur Dahan Dozi Ke Liye Khudawande
Kareem Ne Ye Aayatein Nazil Farmai :

 

 

Ab Kahenge Bewuqoof Logon Mein Se Kis Ne Pher Diya
Musalmano Ko In Ko Us Qible Se Jis Par Wo The Aap Keh
Dijiye Ke Poorab Paschim Sab Allah Hi Ka Hai Wo Jise Chahe
Seedhi Raah Chalata Hai Aur Aye Mahboob Aap Pehle Jis
Qibla Par The Hum Ne Wo Isiliye Muqarrar Kiya Tha Ke
Dekhein Kaun Rasool Ki Pairwi Karta Hai Aur Kaun Ulte
Paaon Phir Jaata Hai Aur Bila Shubha Ye Badi Bhaari Baat Thi
Magar Jin Ko Allah Ta’ala Nr Hidayat De Di Hai (Un Ke Liye

Koi Badi Baat Nahin)
(Al Baqarah : 143)
Pehlj Aayat Mein Yahoodiyo Ke Aitraz Ka Jawab Diya
Gaya Hai Ke Khuda Ki Ibadat Mein Qible Ki Koi Khaas Jihat
Zaroori Nahin Hai, Us Ki Ibadat Ke Liye Purab, Paschim, Uttar,
Dakhin Sab Jihatein Barabar Hain, Allah Ta’ala Jis Jihat Ko
Chahe Apne Bando Ke Liye Qibla Muqarrar Farma De Lihaza
Is Par Kisi Ko Aitraz Ka Koi Haq Nahin Hai, Dusri Aayat Mein
Munafiqeen Ki Zubaan Bandi Ki Gai Hai Jo Tehweele Qibla Ke
Baad Har Taraf Ye Propaganda Karne Lage The Ke
Paighambare Islam To Apne Deen Ke Baare Mein Khud Hi
Mutaraddid Hain Kabhi Baitul Muqaddas Ko Qibla Maante
Hain Kabhi Kehte Hain Ke Kaaba Qibla Hai, Aayat Mein
Tehweele Qibla Ki Hikmat Bata Di Gai Ke Munafiqeen Jo
Mahaz Numaishi Musalman Ban Kar Namazein Padha Karte
The Wo Qible Ke Badalte Hi Badal Gaye Aur Islam Se Munharif
Ho Gaye, Is Tarah Zaahir Ho Gaya Ke Kaun Sadiqul Islam Hai
Aur Kaun Munafiq Aur Kaun Rasoolullah َ

Pairwi Karne Waala Hai Aur Kaun Deen Se Phir Jaane Waala

 

Ladaiyo Ka Silsila

Ab Tak Huzoor َم
َّ Ko Khuda Ki Taraf Se
Sirf Ye Hukm Tha Ke Dalail Ke Saath Aur Mauiza -e- Hasana
Ke Zariye Logon Ko Islam Ki Dawat Dete Rahein Aur
Musalmano Ko Kuffar Ki Izaao Par Sabr Ka Hukm Tha Isiliye
Kafiro Ne Musalmano Par Bade Bade Zulmo Sitam Ke Pahaad
Tode, Magar Musalmano Ne Inteqam Ke Liye Kabhi Hathyar
Nahin Uthaya Balki Humesha Sabro Tahammul Ke Saath Kuffar
Ki Izaao Aur Takleefo Ko Bardasht Karte Rahe Lekin Hijrat Ke
Baad Jab Saara Arab Aur Yahoodi In Mutthi Bhar Musalmano
Ke Jaani Dushman Ho Gaye Aur In Musalmano Ko Fana Ke
Ghaat Utaar Dene Ka Azm Kar Liya To Khudawande Quddus
Ne Musalmano Ko Ye Ijazat Di Ke Jo Log Tum Se Jung Ki
Ibteda Karein Un Se Tum Bhi Lad Sakte Ho, Chunanche 12

 

Safar 2 Hijri Tawarikhe Islam Ka Wo Yadgaar Din Hai Jis Mein
Khudawande Kirdagaar Ne Musalmano Ko Kuffar Ke Muqable
Mein Talwar Uthane Ki Ijazat Di Aur Ye Aayat Nazil Farmai
Ke :

ل قح(39)
Jin Se Ladai Ki Jaati Hai (Musalman) Un Ko Bhi Ab Ladne Ki
Ijazat Di Jaati Hai Kyunki Wo Musalman Mazloom Hain Aur
Khuda Un Ki Madad Par Yaqeenan Qadir Hai
(Al Hajj : 39)
Hazrate Imam Muhammad Bin Shihab Zohri Ka Qaul
Hai Ke Jihad Ki Ijazat Ke Baare Mein Yahi Wo Aayat Hai Jo
Sabse Pehle Naazil Hui, Magar Tafseere Ibne Jareer Mein Hai
Ke Jihad Ke Baare Mein Sab Se Pehle Jo Aayat Utri Wo Ye Hai

 

Khuda Ki Raah Mein Un Logon Se Lado Jo Tum Logon Se
Ladte Hain (Baqarah : 190)
Behar Haal Sana 2 Hijri Mein Musalmano Ko
Khudawande Ta’ala Ne Kuffar Se Ladne Ki Ijazat De Di Magar
Ibteda Mein Ye Ijazat Mashroot Thi Yaani Sirf Unhi Kafiro Se
Jung Karne Ki Ijazat Thi Jo Musalmano Par Hamla Karein,
Musalmano Ko Abhi Tak Is Ki Ijazat Nahin Mili Thi Ke Wo
Jung Mein Apni Taraf Se Pehal Karein Lekin Haq Waazeh Ho
Jaane Aur Batil Zaahir Ho Jaane Ke Baad Chunki Tableeghe
Haque Aur Ahkame Ilahi Ki Nashro Isha’at Huzoor ہ

Par Farz Thi Isiliye Tamam Un Kuffar Se Jo Inaad Ke
Taur Par Haq Ko Qabool Karne Se Inkar Karte The Jihad Ka
Hukm Nazil Ho Gaya Khwah Wo Musalmano Se Ladne Mein
Pehal Karein Ya Na Karein Kyunki Haq Ke Zahir Ho Jaane Ke
Baad Haq Ko Qabool Karne Ke Liye Majboor Karna Aur Batil
Ko Jabran Tark Karana Ye Ayen Hikmat Aur Bani Nau -e- Insan

 

Ki Salaaho Falaah Ke Liye Intehai Zaroori Tha, Behar Haal Is
Mein Koi Shak Nahin Ke Hijrat Ke Baad Jitni Ladaiya Bhi Hui
Agar Poore Mahaul Ko Gahri Nigah Se Baghaur Dekha Jaaye
To Yahi Zaahir Hota Hai Ke Ye Sab Ladaiya Kuffar Ki Taraf Se
Musalmano Ke Sar Par Musallat Ki Gai Aur Ghareeb Musalman
Darja -e- Majboori Talwar Uthane Par Majboor Hue, Maslan
Mundarija -e- Zel Chand Waqiyaat Par Zara Tanqeedi Nigah Se
Nazar Daaliye
مَ Huzoor) 1(

Aur Aap Ke Ashaab Apna
Sab Kuchh Makka Mein Chhod Kar Intehai Bekasi Ke Aalam
Mein Madina Chale Aaye, Chahiye To Ye Tha Ke Kuffare
Makka Ab Itmenan Se Baith Rehte Ke Un Ke Dushman Yaani
Rahmate Aalam َم
َّ
Aur Musalman Unke Shehar
Se Nikal Gaye Magar Hua Ye Ke In Kafiro Ke Ghaizo Ghazab
Ka Paara Itna Chadh Gaya Ke Ab Ye Log Ahle Madina Ke Bhi
Dushmane Jaan Ban Gaye, Chunanche Hijrat Ke Chand Roz
Baad Kuffare Makka Ne Rayeese Ansar Abdullah Bin Ubai Ke
Paas Dhamkiyo Se Bhara Hua Ek Khat Bheja, Abdullah Bin
Ubai Wo Shakhs Hai Ke Waqiya -e- Hijrat Se Pehle Tamam
Madine Waalo Ne In Ko Apna Badshah Maan Kar Iski Tajposhi
Ki Tayyari Kar Li Thi Magar Huzoor َم

Ke صَ
Madina Tashreef Laane Ke Baad Ye Scheme Khatm Ho Gai,
Chunanche Isi Gham Wa Ghusse Mein Abdullah Bin Ubai Umr
Bhar Munafiqo Ke Sardar Ban Kar Islam Ki Bakhqani Karta
Raha Aur Islam Wa Musalmano Ke Khilaf Tarah Tarah Ki
Sazisho Mein Masroof Raha
(Bukhari, 2/924)
Behar Kaif Kuffare Makka Ne Is Dushmane Islam Ke
Naam Jo Khat Likha Uska Mazmoon Ye Hai Ke Tum Ne
Humare Aadmi Muhammad َم
Ko Apne Yahan
Panaah De Rakhi Hai, Hum Khuda Ki Qasam Kha Kar Kehte
Hain Ke Tum Log Un Ko Qatl Kar Do Ya Madine Se Nikaal Do
Warna Hum Sab Log Tum Par Hamla Kar Denge Aur Tumhare
Tamam Ladne Waale Jawano Ko Qatl Kar Ke Tumhari Aurato

 

Par Tasarruf Karenge (Abu Dawood, 2/67)
Jab Huzoor َم
Ko Kuffare Makka Ke Is
Tahdeed Aamez Aur Khaufnak Khat Ki Khabar Maloom Hui To
Aap Ne Abdullah Bin Ubai Se Mulaqat Farmai Aur Irshad
Farmaya Ke Kya Tum Apne Bhaiyo Aur Beto Ko Qatl Karoge?
Chunki Aksar Ansar Damane Islam Mein Aa Chuke The Isliye
Abdullah Bin Ubai Ne Is Nukte Ko Samajh Liya Aur Kuffare
Makka Ke Hukm Par Amal Nahin Kar Saka
(2) Theek Usi Zamane Mein Hazrate Saad Bin Muaaz Jo
Qabila -e- Aus Ke Sardar The Umrah Ada Karne Ke Liye
Madine Se Makka Gaye Aur Purane Talluqat Ki Bina Par
Umayya Bin Khalaf Ke Makaan Par Qiyaam Kiya Jab Umayya
Theek Dopahar Ke Waqt Un Ko Saath Le Kar Tawafe Kaaba Ke
Liye Gaya To Ittefaq Se Abu Jahl Samne Aa Gaya Aur Daant
Kar Kaha Ke Aye Umayya! Ye Tumhare Saath Kaun Hai?
Umayya Ne Kaha Ke Ye Madine Ke Rehne Waale Saad Bin
Muaaz Hain, Ye Sun Kar Abu Jahl Ne Tadap Kar Laha Ke Tum
Logon Ne Be Dharmo (Muhammad Aur Sahaba) Ko Apne
Yahan Panah Di Hai, Khuda Ki Qasam! Agar Tum Umayya Ke
Saath Mein Na Hote To Bach Kar Wapas Nahin Ja Sakte The,
Hazrate Saad Bin Muaaz Ne Bhi Intehai Jurrat Aur Dileri Ke
Saath Ye Jawab Diya Ke Agar Tum Logon Ne Hum Ko Kaabe
Ki Ziyarat Se Roka To Hum Tumhari Sham Ki Tijarat Ka Rasta
Rok Denge (Bukhari)
(3) Kuffare Makka Ne Sirf Inhi Dhamkiyo Par Bas
Nahin Kiya Balki Wo Madine Par Hamle Ki Tayyariya Karne
Lage Aur Huzoor َم
َّ
ل
سَ
َ
ل ٖہو
ٰ
ا
َ
ہو

ی
َ
ل
َ
ع
ٰ
ال
َ
ع
َ
ُہللات
َّ
ل
َص Aur Musalmano Ke Qatle
Aam Ka Mansuba Banane Lage, Chunanche Huzoor ہ

ی
َ
ل
َ
ع
ٰ
ال
َ
ع
َ
ُہللات
َّ
ل
صَ
مَ
َّ
ل
سَ
َ
ل ٖہو
ٰ
ا
َ
و Raato Ko Jaag Jaag Kar Basar Karte The Aur Sahaba
Aap Ka Pehra Diya Karte The, Kuffare Makka Ke Saare Arab
Par Apne Asaro Rusookh Ki Wajah Se Tamam Qabail Mein Ye
Aag Bhadka Di Thi Ke Madina Par Hamla Kar Ke Musalmano

 

Ko Dunya Se Nesto Naabud Karna Zaroori Hai
Mazkoora Baala Teen Wujuhaat Ki Maujudgi Mein Har
Aaqil Ko Ye Kehna Hi Padega Ke In Halaat Mein Huzoor ہللاُ
َّ
ل
صَ
مَ
َّ
ل
سَ
َ
ل ٖہو
ٰ
ا
َ
ہو

ی
َ
ل
َ
ع
ٰ
ال
َ
ع
َ
ت Ko Hifazate Khud Ikhteyari Ke Liye Kuchh Na
Kuchh Tadbeer Karni Zaroori Hi Thi Taaki Ansar Wa
Muhajireen Aur Khud Apni Zindagi Ki Baqa Aur Salamati Ka
Samaan Ho Jaaye
Chunanche Kuffare Makka Ke Khatarnak Irado Ka Ilm
Ho Jaane Ke Baad Huzoor َم
َّ
ل
سَ
َ
ل ٖہ و
ٰ
ا
َ
ہ و

ی
َ
ل
َ
ع
ٰ
ال
َ
ع
َ
ُہللا ت
َّ
ل
َص Ne Apni Aur
Sahaba Ki Hifazate Khud Ikhteyari Ke Liye Do Tadbeero Par
Amal Dar Aamad Ka Faisla Farmaya
Awwal : Ye Ke Kuffare Makka Ki Shami Tijarat Jis Par
In Ki Zindagi Ka Daromadar Hai Is Mein Rukawat Daal Di
Jaaye Taaki Wo Madine Par Hamle Ka Khayal Chhod Dein Aur
Sulah Par Majboor Ho Jaayein
Duwum : Ye Ke Madine Ke Atraaf Mein Jo Qabail
Aabad Hain In Se Amno Amaan Ka Muahda Ho Jaaye Taaki
Kuffare Makka Madine Par Hamle Ki Niyyat Na Kar Sakein,
Chunanche Huzoor َم
َّ
ل
سَ
َ
ل ٖہو
ٰ
ا
َ
ہو

ی
َ
ل
َ
ع
ٰ
ال
َ
ع
َ
ُہللات
َّ
ل
َص Ne Inhi Do Tadbeero Ke
Peshe Nazar Sahaba Ke Chhote Chhote Lashkaro Ko Madine Ke
Atraaf Mein Bhejna Shuru Kar Diya Aur Baaz Lashkaro Ke
Saath Khud Bhi Tashreef Le Gaye, Sahaba Ke Ye Chhote
Chhote Lashkar Kabhi Kuffare Makka Ki Naqlo Harkat Ka Pata
Lagane Ke Liye Jaate The Aur Kahin Baaz Qabail Se Muahda –
e- Amno Amaan Karne Ke Liye Rawana Hote The, Kahin Is
Maqsad Se Bhi Jaate The Ke Kuffare Makka Ki Shami Tijarat
Ka Rasta Band Ho Jaaye, Isi Silsile Mein Kuffare Makka Aur
Un Ke Haleefo Se Musalmano Ka Takraaw Shuru Hua Aur
Chhoti Badi Ladaiyo Ka Silsila Shuru Ho Gaya, Inhi Ladaiyo
Ko Tarikhe Islam Mein Ghazwaat Wa Saraya Ke Unwaan Se
Bayaan Kiya Gaya Hai

 

Ghazwa Wa Sariyya Ka Farq
Yahan Musannifeene Seerat Ki Ye Istelah Yaad Rakhni
Zaroori Hai Ke Wo Jungi Lashkar Jis Ke Saath Khud Huzoor َّ
ل
صَ
مَ
َّ
ل
سَ
َ
ل ٖہو
ٰ
ا
َ
ہو

ی
َ
ل
َ
ع
ٰ
ال
َ
ع
َ
ہللاتُ Bhi Tashreef Le Gaye Usko Ghazwa Kehte Hain
Aur Wo Lashkaro Ki Toliya Jin Mein Huzoor ہللاُ
َّ
ل
صَ
مَ
َّ
ل
سَ
َ
ل ٖہو
ٰ
ا
َ
ہو

ی
َ
ل
َ
ع
ٰ
ال
َ
ع
َ
ت
Shamil Nahin Hue Un Ko Sariyya Kehte Hain (Madarijun
Nubuwwah)
Ghazwaat Yaani Jin Lashkaro Mein Huzoor ہ

ی
َ
ل
َ
ع
ٰ
ال
َ
ع
َ
ُہللات
َّ
ل
صَ
مَ
َّ
ل
سَ
َ
ل ٖہ و
ٰ
ا
َ
و Shareek Hue Un Ki Tadaad Mein Muarrikhee Ka
Ikhtelaf Hai, Mawahibe Laddunya Mein Hai Ke Ghazwaat Ki
Tadaad 27 Hai Aur Rauzatul Ahbaab Mein Ye Likha Hai Ke
Ghazwaat Ki Tadaad Ek Qaul Ki Bina Par 21 Aur Baaz Ke
Nazdeek 24 Hai Aur Baaz Ne Kaha Ke 25 Hai Aur Baaz Ne 26
Likha Hai
Magar Hazrate Imam Bukhari Ne Hazrate Zaid Bin
Arqam Sahabi Se Jo Riwayat Thereer Ki Hai Us Mein Ghazwaat
Ki Kul Tadaad 19 Batai Gai Hai Aur In Mein Se Jin 9 Ghazwaat
Mein Jung Bhi Hui Wo Ye Hain :
(1) Junge Badr (2) Junge Uhud (3) Junge Ahzab (4) Junge Banu
Quraiza (5) Junge Banu Al Mustaliq (6) Junge Khaibar (7) Fathe
Makka (8) Junge Hunain (9) Junge Taaif
Saraya Yaani Jin Lashkaro Ke Saath Huzoor ہ

ی
َ
ل
َ
ع
ٰ
ال
َ
ع
َ
ُہللات
َّ
ل
صَ
مَ
َّ
ل
سَ
َ
ل ٖہ و
ٰ
ا
َ
و Tashreef Nahin Le Gaye Un Ki Tadaad Baaz
Muarrikheen Ke Nazdeek 47 Hai Aur Baaz Ke Nazdeek 56 Hai
Imam Bukhari Ne Muhammad Bin Is’haaq Se Riwayat
Kiya Hai Ke Sab Se Pehla Ghazwa “Abwa” Aur Sab Se Aakhiri
Ghazwa “Tabook” Hai Aur Sab Se Pehla Sariyya Jo Madine Se
Jung Ke Liye Rawana Hua Wo Sariyya -e- Hamza Hai Jiska Zikr
Aage Aata Hai
Ghazwaat Wa Saraya
Hijray Ke Baad Taqreeban Kul Zamana “Ghazwaat Wa
Saraaya” Ke Ehtimam Wa Intezam Mein Guzra Isliye Ke Agar
“Ghazwaat” Ki Kam Se Kam Tadaad Jo Riwayaat Mein Aain

 

Hain Yaani 19 Aur Saraya Ki Kam Se Kam Tadaad Jo Riwayato
Mein Hai Yaani 47 Shumar Kar Li Jaaye To 9 Saal Mein Huzoor
Ki Chhoti Badi 66 Ladaiyo Ka Saamna Karna Pada Lihaza
Ghazwaat Wa Saraaya Ka Unwaan Huzoor َم
َّ
ل
سَ
َ
ل ٖہو
ٰ
ا
َ
ہو

ی
َ
ل
َ
ع
ٰ
ال
َ
ع
َ
ُہللات
َّ
ل
Ki صَ
Seerate Muqaddasa Ka Bahut Hi Azeemushshaan Hissa Hai Aur
Bihamdillahi Ta’ala In Tamam Ghazwaat Wa Saraya Aur In Ke
Wujooh Wa Asbaab Ka Poora Poora Haal Islami Tarikho Mein
Mazkoor Wa Mahfooz Hai, Magar Ye Itna Lamba Chauda
Mazmoon Hai Ke Humari Is Kitab Ka Tang Daman Un Tamam
Mazameen Ko Sametne Se Bilkul Qasir Hai Lekin Badi Mushkil
Ye Hai Ke Agar Hum Bilkul Hi In Mazameen Ko Chhod Dein
To Yaqeenan Seerate Rasool Ka Mazmoon Bilkul Hi Naqis Aur
Na Mukammal Reh Jayega Isliye Mukhtasar Taur Par Chand
Mashhoor Ghazwaat Wa Saraya Ka Yahan Zikr Kar Dena
Nihayat Zaroori Hai Taaki Seerate Muqaddasa Ka Ye Aham
Baab Bhi Nazireen Ke Liye Nazar Afroz Ho Jaaye
Sariyya -e- Hamza
Huzoore Aqdas َم
َّ
ل
سَ
َ
ل ٖہو
ٰ
ا
َ
ہو

ی
َ
ل
َ
ع
ٰ
ال
َ
ع
َ
ُہللات
َّ
ل
َص Ne Hijrat Ke Baad Jab
Jihad Ki Aayat Naazil Ho Gai To Sab Se Pehle Jo Ek Chhota Sa
Lashkar Kuffar Ke Muqable Ke Liye Rawana Farmaya Uska
Naam “Sariyya -e- Hamza” Hai, Huzoor َم
َّ
ل
سَ
َ
ل ٖہو
ٰ
ا
َ
ہو

ی
َ
ل
َ
ع
ٰ
ال
َ
ع
َ
ُہللات
َّ
ل
Ne صَ
Apne Chacha Hazrate Hamza Bin Abdul Muttalib Ko Ek Safed
Jhanda Ata Farmaya Aur Us Jhande Ke Neeche Sirf 30
Muhajireen Ko Ek Lashkare Kuffar Ke Muqable Ke Liye Bheja
Jo 300 Ki Tadaad Mein The Aur Abu Jahl Un Ka Sipah Salaar
Tha, Hazrate Hamza Radiallaho Ta’ala Anho “Saiful Bahar” Tak
Pahunche Aur Dono Taraf Se Jung Ke Liye Saf Bandi Bhi Ho
Gai Lekin Ek Shakhs Majdi Bin Amr Juhanni Ne Jo Dono
Fareeq Ka Haleef Tha Beech Mein Pad Kar Ladai Mauqoof Kara
Di (Madarijun Nubuwwah)

Sariyya -e- Ubaida Bin Al Haaris
Isi Saal 60 Ya 80 Muhajireen Ke Saath Huzoor ٰ
ال
َ
ع
َ
ُہللات
َّ
ل
صَ
Seerate Mustafa
184
مَ
َّ
ل
سَ
َ
ل ٖہو
ٰ
ا
َ
ہو

ی
َ
ل
َ
ع Ne Hazrate Ubaida Bin Al Haaris Ko Safed Jhande Ke
Saath Ameer Bana Kar Rabigh Ki Taraf Rawana Farmaya, Is
Sariyye Ke Alambardar Hazrate Mustah Bin Asasa The, Jab Ye
Lashkar Saniyya -e- Murrah Ke Maqam Par Pahuncha To Abu
Sufyan Aur Abu Jahl Ke Ladke Ikrima Ki Kamaan Mein 200
Kuffare Quresh Jama The, Dono Lashkaro Ka Samna Hua,
Hazrate Saad Bin Abi Waqqas Ne Kuffar Par Teer Phenka, Ye
Sab Se Pehla Teer Tha Jo Musalmano Ki Taraf Se Kuffare
Makka Par Chalaya Gaya, Hazrate Saad Bin Abi Waqqas Ne
Kul 8 Teer Phenke Aur Har Teer Nishane Par Theek Baitha,
Kuffar In Teero Ki Maar Se Ghabra Kar Firaar Ho Gaye Isliye
Koi Jung Nahin Hui (Madarijun Nubuwwah)
Sariyya -e- Saad Bin Abi Waqqas
Isi Saal Maahe Zulqada Mein Hazrate Saad Bin Abi
Waqqas Ko 20 Suwaro Ke Saath Huzoor Ne Is Maqsad Se Bheja
Taaki Ye Log Kuffare Quresh Ke Ek Lashkar Ka Rasta Rokein,
Is Sariyye Ka Jhanda Bhi Safed Rang Ka Tha Aur Hazrate
Miqdad Bin Aswad Is Lashkar Ke Alambardar The, Ye Lashkar
Raato Raat Safar Karte Hue Jab Panchwein Din Maqame
Khiraar Par Pahuncha To Pata Chala Ke Makka Ke Kuffar Ek
Din Pehle Hi Firaar Ho Chuke Hain Is Liye Kisi Tasadum Ki
Naubat Hi Nahin Aai

Ghazwa -e- Abwa
Is Ghazwe Ko Ghazwa -e- Wadaan Bhi Kehte Hain, Ye
Sab Se Pehla Ghazwa Hai Yaani Pehli Martaba Huzoor ٰ
ال
َ
ع
َ
ُہللات
َّ
ل
صَ
مَ
َّ
ل
سَ
َ
ل ٖہو
ٰ
ا
َ
ہو

ی
َ
ل
َ
ع Jihad Ke Irade Se Maahe Safar Sana 2 Hijri Mein 60
Muhajireen Ko Apne Saath Le Kar Madine Se Baahar Nikle,
Hazrate Saad Bin Obada Ko Madine Mein Apna Khalifa Banaya
Aur Hazrate Hamza Ko Jhanda Diya Aur Maqame Abwa Tak
Kuffar Ka Pichha Karte Hue Tashreef Le Gaye Magar Kuffare
Quresh Makka Firaar Ho Chuke The Isliye Koi Jung Nahin Hui,
Abwa Madine Se 80 Meel Door Ek Gaaon Hai Jahan Huzoor َّ
ل
صَ
Seerate Mustafa
185
مَ
َّ
ل
سَ
َ
ل ٖہو
ٰ
ا
َ
ہو

ی
َ
ل
َ
ع
ٰ
ال
َ
ع
َ
ہللاتُ Ki Walida -e- Majida Hazrate Aamina Ka Mazaar
Hai, Yahan Chand Din Thehar Kar Qabila -e- Banu Zamra Ke
Sardar Makhshi Bin Amr Zamri Se Imdade Baahami Ka Ek
Tehreeri Muahda Kiya Aur Madine Wapas Tashreef Le Aaye, Is
Ghazwe Mein 15 Din Aap َم
َّ
ل
سَ
َ
ل ٖہو
ٰ
ا
َ
ہو

ی
َ
ل
َ
ع
ٰ
ال
َ
ع
َ
ُہللات
َّ
ل
َص Madine Se Baahar
Rahe
Ghazwa -e- Bawaat Hijrat Ke Terahwein Mahine Sana 2
Hijri Mein Madine Par Hazrate Saad Bin Muaaz Ko Hakim Bana
Kar 200 Muhajireen Ko Saath Le Kar Huzoor َم
َّ
ل
سَ
َ
ل ٖہو
ٰ
ا
َ
ہو

ی
َ
ل
َ
ع
ٰ
ال
َ
ع
َ
ُہللات
َّ
ل
صَ
Jihad Ki Niyyat Se Rawana Hue, Is Ghazwe Ka Jhanda Bhi
Safed Tha Aur Alambardar Hazrate Saad Bin Abi Waqqas The,
Is Ghazwe Ka Maqsad Kuffare Makka Ke Ek Tijarati Qafile Ka
Rasta Rokna Tha, Us Qafile Ka Salaar Umayya Bin Khalaf
Jamahi Tha Aur Us Qafile Mein 100 Qureshi Kuffar Aur 1500
Oont The, Huzoor ا
َ
ع
َ
ُہللات
َّ
ل
صَ
مَ
َّ
ل
سَ
َ
ل ٖہو
ٰ
ا
َ
ہو

ی
َ
ل
َ
ع
ٰ
ل Us Qafile Ki Talash Mein
Maqame Bawaat Tak Tashreef Le Gaye Magar Kuffare Quresh
Ka Kahin Saamna Na Hua Isliye Huzoor َم
َّ
ل
سَ
َ
ل ٖہ و
ٰ
ا
َ
ہ و

ی
َ
ل
َ
ع
ٰ
ال
َ
ع
َ
ُہللا ت
َّ
ل
صَ
Baghair Kisi Jung Ke Madine Wapas Tashreef Le Aaye
Ghazwa -e- Safwan
Isi Saal Qurz Bin Jabir Fihri Ne Madine Ki Charagah
Mein Daaka Daala Aur Kuchh Oonto Ko Haank Kar Le Gaya,
مَ Huzoor
َّ
ل
سَ
َ
ل ٖہ و
ٰ
ا
َ
ہ و

ی
َ
ل
َ
ع
ٰ
ال
َ
ع
َ
ُہللا ت
َّ
ل
َص Ne Hazrate Zaid Bin Haarisa Ko
Madine Mein Apna Khaleefa Bana Kar Aur Hazrate Ali Ko
Alambardar Bana Kar Sahaba Ki Ek Jama’at Ke Saath Wadiye
Safwan Tak Us Daaku Ka Taqub Kiya Magar Wo Is Qadar Tezi
Ke Saath Bhaaga Ke Haath Nahin Aaya Aur Huzoor ہ

ی
َ
ل
َ
ع
ٰ
ال
َ
ع
َ
ُہللات
َّ
ل
صَ
مَ
َّ
ل
سَ
َ
ل ٖہو
ٰ
ا
َ
و Wapas Madine Tashreef Le Aaye, Wadiye Safwan Badr
Ke Qareeb Hai Isiliye Baaz Muarrikheen Ne Is Ghazwe Ka
Naam Ghazwa -e- Badre Oola Rakha Hai, Isliye Ye Yaad
Rakhna Chahiye Ke Ghazwa -e- Safwan Aur Ghazwa -e- Badre
Oola Dono Ek Hi Ghazwe Ke Do Naam Hain
(Madarijun Nubuwwah)
Seerate Mustafa
186
Ghazwa -e- Zil Ushaira
Isi Sana 2 Hijri Mein Kuffare Quresh Ka Ek Qafila
Maale Tijarat Le Kar Makke Se Shaam Ja Raha Tha, Huzoor َّ
ل
صَ
مَ
َّ
ل
سَ
َ
ل ٖہو
ٰ
ا
َ
ہو

ی
َ
ل
َ
ع
ٰ
ال
َ
ع
َ
ہللاتُ Ne 150 Ya 200 Muhajireen Sahaba Ko Saath Le
Kar Us Qafile Ka Rasta Rokne Ke Liye Maqame Zil Ushaira
Tak Tashreef Le Gaye Jo Yambu Ki Bandargah Ke Qareeb Hai
Magar Yahan Pahunch Kar Maloom Hua Ke Qafila Bahut Aage
Badh Gaya Hai, Isliye Koi Talraaw Nahin Hua Magar Yahi
Qafila Jab Shaam Se Wapas Lauta Aur Huzoor َس
َ
ل ٖہو
ٰ
ا
َ
ہو

ی
َ
ل
َ
ع
ٰ
ال
َ
ع
َ
ُہللات
َّ
ل
صَ
مَ
َّ
ل
Us Ki Muzahmat Ke Liye Nikle To Junge Badr Ka Marika Pesh
Aa Gaya Jis Ka Mufassal Zikr Aage Aata Hai

Sariyya -e- Abdullah Bin Jahash
Isi Saal Maahe Rajab Sana 2 Hijri Mein Huzoor ٰ
ال
َ
ع
َ
ُہللات
َّ
ل
صَ
مَ
َّ
ل
سَ
َ
ل ٖہو
ٰ
ا
َ
ہو

ی
َ
ل
َ
ع Ne Hazrate Abdullah Bin Jahash Ko Ameere Lashkar
Bana Kar Un Ki Maa Tehati Mein 8 Ya 12 Muhajireen Ka Ek
Juth Rawana Farmaya, 2-2 Aadami Ek Ek Oont Par Suwaar The,
مَ Huzoor
َّ
ل
سَ
َ
ل ٖہو
ٰ
ا
َ
ہو

ی
َ
ل
َ
ع
ٰ
ال
َ
ع
َ
ُہللات
َّ
ل
َص Ne Hazrate Abdullah Bin Jahash Ko
Lifafe Mein Ek Mohar Band Khat Diya Aur Farmaya Ke Do Din
Safar Karne Ke Baad Is Lifafe Ko Khol Kar Padhna Aur Is Mein
Jo Hidayaat Likhi Hain Un Par Amal Karna, Jab Khat Khol Kar
Padha To Us Mein Ye Darj Tha Ke Tum Taaif Aur Makke Ke
Darmiyan Maqame Nakhla Mein Thehar Kar Quresh Ke Qafilo
Par Nazar Rakho Aur Soorate Haal Ki Humein Barabar Khabar
Dete Raho, Ye Bada Hi Khatarnak Kaam Tha Kyunki
Dushmano Ke Ayen Markaz Mein Qiyaam Kar Ke Jasoosi
Karna Goya Maut Ke Moonh Mein Jaana Tha Magar Ye Sab
Jaan Nisar Be Dhadak Maqame Nakhla Pahunch Gaye, Ajeeb
Ittefaq Ke Rajab Ki Aakhiri Tarikh Ko Ye Log Nakhla Pahunche
Aur Isi Din Kuffare Quresh Ka Ek Tijarati Qafila Aaya Jis Mein
Amr Bin Al Hazrami Aur Abdullah Bin Mugheera Ke Do Ladke
Usman Wa Naufal Aur Hakam Bin Qaisan Waghaira The Aur
Oonto Par Khajoor Aur Dusra Maale Tijarat Lada Hua Tha
Ameere Sariyya Hazrate Abdullah Bin Jahash Ne Apne
Seerate Mustafa
187
Saathiyo Se Farmaya Ke Agar Hum In Qafile Waalo Ko Chhod
Dein To Ye Log Makka Pahunch Kar Hum Logon Ki Yahan
Maujudgi Se Makka Waalo Ko Ba Khabar Kar Denge Aur Hum
Logon Ko Qatl Ya Giriftar Karwa Denge Aur Agar Hum In
Logon Se Jung Karein To Aaj Rajab Ki Aakhiri Tarikh Hai
Lihaza Shehre Haraam Mein Jung Karne Ka Gunah Hum Par
Lazim Hoga, Aakhir Yahi Ek Raaye Qaraar Paai Ke In Logon
Se Jung Kar Ke Apni Jaan Ke Khatre Ko Dafa Karna Chahiye,
Chunanche Hazrate Waqid Bin Abdullah Tameemi Ne Ek Aisa
Taak Kar Teer Maara Ke Wo Amr Bin Al Hazrami Ko Laga Aur
Wo Usi Teer Se Qatl Ho Gaya Aur Usman Wa Hakam Ko In
Logon Ne Giriftar Kar Liya, Naufal Bhaag Nikla, Hazrate
Abdullah Bin Jahash Oonto Aur Un Par Lade Hue Maal Wa
Asbaab Ko Maale Ghaneemat Bana Kar Madina Laut Aaye Aur
مَ Huzoor
َّ
ل
سَ
َ
ل ٖہو
ٰ
ا
َ
ہو

ی
َ
ل
َ
ع
ٰ
ال
َ
ع
َ
ُہللات
َّ
ل
َص Ki Khidmat Mein Is Maale Ghaneemat
Ka Paanchwa Hissa Pesh Kiya (Zurqani Alal Mawahib)
Jo Log Qatl Ya Giriftar Hue Wo Bahut Hi Muazzaz
Khandan Ke Log The, Amr Bin Al Hazrami Jo Qatl Hua
Abdullah Hazramu Ka Beta Tha, Amr Bin Al Hazrami Pehla
Kafir Tha Jo Musalmano Ke Haath Se Maara Gaya, Jo Log
Giriftar Hue Yaani Usman Aur Hakam, In Mein Se Usman To
Mugheera Ka Pota Tha Jo Quresh Ka Ek Bahut Bada Rayees
Shumar Kiya Jaata Tha Aur Hakam Bin Kaisan Hisham Bin Al
Mugheera Ka Aazad Karda Ghulam Tha, Is Bina Par Is Waqiye
Ne Tamam Kuffare Quresh Ko Ghaizo Ghazab Mein Aag
Bagoola Bana Diya Aur Khoon Ka Badla Khoon Lene Ka Naara
Makka Ke Har Koocha Wa Bazaar Mein Gunjne Laga Aur Dar
Haqeeqat Junge Badr Ka Marika Isi Waqiye Ka Radde Amal
Hai, Chunanche Hazrate Urwah Bin Zubair Ka Bayaan Hai Ke
Junge Badr Aur Tamam Ladaiya Jo Kuffare Quresh Se Hui, Un
Sab Ka Bunyadi Sabab Amr Bin Al Hazrami Ka Qatl Hai Jis Ko
Hazrate Waqid Bin Abdullah Tameemi Ne Teer Maar Kar Qatl
Kar Diya Tha
(Tarikhe Tabri)

Leave a Comment