Hazrat Ashmoo’il alaihissalam

Hazrat Ashmoo’il alaihissalam

“Aey mehboob kya tumne na dekha bani israel ke ek giroh ko jo Moosa alaihissalam ke baad hua jab apne ek Nabi se bole humare liye ek badshah muqarrar kar do ke hum khuda ki raah mein ladein, Nabi ne farmaya kya tumhare andaaz aise hain ke tum par jihaad farz kiya jaaye to phir na karo? Bole humein kya hua hai ke ALLAH TA’ALA ki raah mein na ladein halanki hum nikaale gaye apne watan aur apni aulaad se to phir jab un par jihaad farz kiya gaya munh pher gaye magar unmein ke thode aur Allah khoob jaanta hai zaalimon ko”

“Almalaye ( المَلء)” qaum ke bade sarkarda log un ke bade logon ko “mala ( مَلء)” kehne ki wajah ye hai ke unka rob dusre logon ke seenon ko bhar deta tha ya iski wajah ye thi ke wo dusron se taawwun karte the.

Moosa alaihissalam ke baad Yoosha’a alaihissalam aaye jo ALLAH TA’ALA ke ahkamaat unmein qaa’im karte rahe aur tauret ke mutabiq amal karne ki tableegh farmate rahe unke baad “Kaalib” aur unke baad “Hazqeel” aur unke baad “Ilyaas” aur unke baad “Al Yasa’a” alaihimussalam aaye.

In hazraat ke baad bani israel par unke dushman Jaloot ki qaum amaalqa ke log ghaalib aa gaye us waqt bani israel behare room yaani misr aur philistine ke darmiyaan rehte the, bani amaalqa ne unke kai sheharon par qabza kar liya aur unke bade bade raison (ameer log) ke bete 440 ki tadad mein qaidi bana liye aur un par jizya (tax) muqarrar kar diya aur unki tauret bhi le gaye us waqt unke koi Nabi nahin the jo unke maamlaat ki tadbeer karte, khandaan e nubuwwat ke sab log wafaat pa chuke the sirf ek aurat khandaan e nubuwat se zinda thi jo haamila (pregnant) thi dua karti rehti thi “Ashmoo’il” (aey Allah sun) yaani aey Allah dua qabool kar, ibraani zabaan mein “Ashmoo ( امشو)” ka maayne “sun (سن)” aur “eil” ( ايل)ka maayne Allah.

Bachha paida hone par yehi naam rakha, jab bachha bada hua to uski maa’n ne usko Tauret di aur Baitul Muqaddas ki khidmat mein muqarrar kar diya ALLAH TA’ALA ne usey nubuwat ata farmai jab wo Nabi ban kar apni qaum mein aaye to qaum ne kaha ke agar tum apne daawe mein sachhe ho to humare liye ek badshah muqarrar kar do jiske zere qayaadat hum qaum amaalqa se jihaad karein lekin ALLAH TA’ALA ke Nabi ne kaha tum waada ko poora nahin kar sakoge unhone kaha ke hum zarur jihaad karenge humein apne gharon se nikaala gaya hai, humari aulaad ko qaidi banaya gaya hai aulaad se muraad unke aaba ki aulaad thi ya wo badi umron ke the aur unki apni hi aulaad ho. Lekin jaise ALLAH TA’ALA ke Nabi ne farmaya tha aise hi hua ke wo sab log apne waada se phir gaye the sirf 313 the jo saabit qadam rahe.

Khayaal rahe ke is waaqiya mein jis Nabi ka zikr hai unke naam mein ikhtelaaf agarche hain lekin Allama Raazi rahmatullah alaihi ne farmaya “ALLAH TA’ALA ke is Nabi ka naam Ashmoo’il tha ibraani zabaan mein Ismail kaha jaata hai ye hazrat Haroon alaihissalam ki aulaad mein se the yehi aksar ahle ilm ka qaul hai”.

Badshah ke liye taLoot ka intekhaab :

“Aur unse unke Nabi ne farmaya beshak ALLAH TA’ALA ne Talooth ko tumhara badshah bana kar bheja hai bole ise hum par badshahi kyun kar hogi aur hum isse

236 tAZKIRATUL AMBIYA Hazrate Ashmooil

zyada saltanat ke mustahiq hain aur ise maal mein bhi wus’at nahin di gai. Farmaya ise ALLAH TA’ALA ne hum par chun liya aur ise ilm aur jism mein kushaadgi zyada di aur ALLAH TA’ALA apna mulk jise chahe de aur ALLAH TA’ALA wus’at wala hikmat wala hai”

Pehle unhone khud hi ALLAH TA’ALA ke Nabi se sawaal kiya ke humein koi badshah ata karein jab unhein bataya gaya ke ALLAH TA’ALA ne tumhare liye Talooth ko badshah muntakhab kiya hai to ab uska inkaar karne lage ke ye kaise humara badshah ho sakta hai? Unka usey baa’id samajhna do wajah se tha ek ye ke bani israel mein nubuwwat “Laadi bin Yaqoob” ki aulaad mein aa rahi thi is khandaan se Dawood aur Suleman alaihissalam the choonki Talooth un donon qabeelon mein se ek se bhi nahin the, dusri wajah ye thi ke Talooth ek ghareeb shakhs the rang saaz the ya maashaki the lihaza unhone kaha “ise to maal ki wus’at bhi nahin di gai” wo humara badshah kaise ho sakta hai? ALLAH TA’ALA ke Nabi ne jawab diya Taalooth badshaahat ka mustahiq isliye hai ke ALLAH TA’ALA ne ise mukhtas kar diya hai aur tum se zyada usey pasand karke chun liya hai aur mulk ALLAH TA’ALA ka hai jise chahe ata kar de aur uske intekhaab mein aitraaz karna sahibe aql ka kaam nahin aur zaahir cheez jise tum bhi samajh sakte ho wo ye hai ke badshah ke liye ilm aur jismani taaqat zyada honi chahiye ye donon cheezein Talooth ko tum se zyada haasil hain isi wajah se wo badshaahat ka mustahiq hua.

Ilm aur taaqat badshaahat ke asbaab kyun?

Ilm aur taaqat haqeeqi kamalaat hain, maal aur martaba zaahiri kamalaat hain ye waazeh hai ke haqeeqi kamalaat ko bartari haasil hai isi tarah ilm aur qudrat insaan ki zaat se mutalliq hote hain lekin maal aur martaba aani jaani cheezein hain kabhi haasil ho gai aur kabhi zaa’il ho gai inka insaan ki zaat se koi taalluq nahin balki ye sifaat aariza hain, ilm aur qudrat insaan se zaa’il hone wali cheezein nahin aur maal wa martaba zaa’il hone wali cheezein hain to yaqeenan ilm aur qudrat ko bartari haasil hai.

Aur sabse badi wajah ye hai ke badshah ka maqsad ye hota hai ke wo nizame mamlikat chalane aur jungon ke tareeqa e kaar ka ilm rakhta ho, jungi tadaabeer ko jaanta ho ke kis tarah kamyaabi haasil ki ja sakti hai aur usey ye qudrat haasil ho ke dushmanon ke shar se qaum ko bacha sake aur shehari hudood ki hifazat kar sake inhin tamam wajah ke peshe nazar badshaahat ka istihqaaq ilm wa qudrat par hai maal aur martaba par nahin.

Aurat aur badshaahat

Jab ye waazeh ho chuka hai ke haakim sahibe ilm aur bahadur hona chahiye to isse khud ba khud ye baat samajh mein aa jaati hai ke kam aqal qaum ko haakim banana bewakoofi, nadaani, himaaqat hai.

Hazrat Abu Sa’eed Khudri radiallaho ta’ala anhu se marwi hai ke Rasoolullah ﷺ eid ul azha ya eid ul fitr ko eidgaah ki taraf tashreef le ja rahe the raaste mein auraton ke paas se guzar hua to aap ne farmaya “Aey auraton ki jama’at! sadqa zyada kiya karo, main bahut si auraton ko jahannami ﷺ dekh raha hoon, auraton ne arz ki Ya Rasoolallah! iski kya wajah hai? Aap ﷺ ne farmaya tum laanat zyada karti ho aur apne khawindon (shoharon) ki nashukri karti ho”.

237 tAZKIRATUL AMBIYA Hazrate Ashmooil

Phir aapne farmaya “Maine tum auraton se badh kar kisi aur ko aisa nahin dekha ke aqal aur deen mein bhi kam ho lekin bade bade aqalmandon ki aqlon ko zaaya kar de”.

Auraton ne puchha Ya Rasoolallah ﷺ! humare deen aur humari aqlon mein kya kami hai? Aap ne farmaya kya ek aurat ki shahadat mard ki shahadat ke nisf (aadhi, half) barabar nahin? Auraton ne arz ki haan Ya Rasoolallah aise hi hain aap ﷺ ne farmaya ye aqal ki kami hai. Phir aap ne farmaya kya aisa nahin ke tum haiz (periods) ke dinon mein namaz aur roza ada nahin kar sakti? Auraton ne arz kiya Ya Rasoolallah aisa hi hai aap ﷺ ne farmaya ye tumhare deen ka nuqsaan hai.

SubhanAllah jisko Nabi Kareem ﷺ be aqal keh dein wo hukoomat ke mansab par faa’iz hokar bhi bewakoof hi rahegi. Hazrat Abu Bakr Siddique radiallaho ta’ala anhu se marwi hai ke jab Rasoolullah ﷺ ko ye khabar mili ke Ahle Faaras ne binte kisra ko apni malka bana liya to aapne farmaya “Wo qaum hargiz kamyaab nahin hogi jinhone auraton ko apna haakim bana liya”.

Hazrat Abu Huraira radiallaho ta’ala anhu se marwi hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaya jab tumhare umra tum se nek ho’n aur tumhare aghniya sakhi ho’n aur tumhare maamlaat mashaawarat (opinion) se tay (decide) ho’n to tumhare liye zameen ka upar ka hissa neeche se behtar hai (zinda rehna behtar hai) aur agar tumhare umra (hukkaam) shareer ho’n aur tumhare ghani kanjoos ho’n aur tumhare maamlaat auraton ke hath mein ho to tumhare liye zameen ka andruni hissa zaahir se behtar hai (mar jaana behtar hai) yaani mar jaana zinda rehne se behtar hai.

Talooth ki badshaahat par taboot ka bataure nishani aana

“Aur kaha inhein inke Nabi ne ke iski badshahi ki ye nishani hai ke aayega tumhare paas ek sandooq ismein tasalli (ka samaan) hoga tumhare Rab ki taraf se aur (ismein) bachi hui cheezein hogi jinhein chhod gai hai aulaade Moosa aur aulaade Haroon alaihimussalam, utha layenge is sandooq ko firishte, beshak ismein badi nishani hai tumhare liye agar tum imaandaar ho”.

Jab ALLAH TA’ALA ke Nabi ne apni qaum ko bataya ke hukoomat ke liye tumhara qaa’im karda maiyaar durust nahin balki iska sahi maiyaar to ilm wa shuja’at hai aur donon baaton mein wo tum sabse mumtaaz hai.

Bible mein hai ke “Ye tees saala naujawan apne husn wa jamaal mein be nazeer tha uski qaamat ki bulandi ki ye haalat thi ke dusre log mushkil se uske kandhon tak pahunch sakte the aur ye Bunyameen (Yaqoob alaihissalam ke chhote bete) ki nasl se tha. ALLAH TA’ALA ke Nabi ne unhein bataya ke Talooth ka intekhaab insaani intekhaab nahin balki Rabbul izzat ne khud ise tumhari qayaadat ke liye muntakhab farmaya hai tumhein uski ata wa bakhshish par muatariz nahin hona chahiye”.

Bani israel bhala kab aasani se apni zid se baaz aane wale the fauran mutaalba kiya ke aap daleel pesh kijiye ke Talooth ka intekhaab waaqai ALLAH TA’ALA ne kiya hai. Us waqt unke Nabi ne farmaya ke iski hukoomat ki nishani ye hai ke ye sandooq jis mein tumhari taskeen wa tamaneeyat ka samaan hai aur jismein hazrat Moosa alaihissalam aur hazrat Haroon alaihissalam ke tabarrukaat the aur jo amaalqa tum se chheen kar le gaye the wo tumhein firishte wapas kar denge agar tum mein imaan hai to isse badh kar tumhein kisi mazeed nishani ki zarurat nahin rahegi.

238 tAZKIRATUL AMBIYA Hazrate Ashmooil

Jab firishte us sandooq ko uthaye huye ya us bailgaadi ko haankte huye jis par taboot rakha tha bani israel ke paas le aaye to ab unhein Talooth ke badshah banne ke mutalliq itminaan ho gaya neez inhein dhaaras bandh gai ke ab wo yaqeenan fatehyaab honge kyun ke Ambiya -e- kiraam ke tabarrukaat wala sandooq jis mein hazrat Moosa alaihissalam ka asa aur paarcha jaat aur hazrat Haroon alaihissalam ka imaama (pagdi) tha unhein wapas mil gaya.

Faayda: Is aayat se ye bhi waazeh ho gaya ke wo ashya jinka taalluq ALLAH TA’ALA ke maqbool bandon se hota hai unki barkat se duayein qabool hoti hain aur dushmanon par ghalba naseeb hota hai. Sahaba -e- kiraam rizwanullahi ta’ala alaihim Huzoor ﷺ ke nakhun aur baal mubarak tabarruk ke taur par paas rakhte the, Hazrat Khaalid Bin Waleed radiallaho ta’ala anhu ke sar par ek kapde ki topi thi jismein Huzoor ﷺ ka ek baal mubarak rakha hua tha hazrat khaalid radiallaho ta’ala anhu farmate hain ke jis maarka mein ye topi sar par rakh kar jaata hoon ALLAH TA’ALA us baal ki barkat se mujhe kamyaab wa kaamraan karta hai.

Qaum ki aazmaish

“Phir jab Talooth lashkaron ko lekar shehar se juda hua bola beshak ALLAH TA’ALA tumhein ek nehar se aazmane wala hai to jo iska paani piye mera nahin aur jo iska paani na piye wo mera hai magar wo jo ek chullu hath se le le to sab ne usse piya magar thodo ne aur phir jab Talooth aur uske sath ke musalman nehar ke paar gaye bole hum mein aaj taaqat nahin Jalooth aur uske lashkaron (ke sath jung) ki, bole wo jinhein ALLAH TA’ALA se milne ka yaqeen tha ke baar baar kam jama’at ghaalib aai hai zyada giroh par ALLAH TA’ALA ke hukm se aur ALLAH TA’ALA saabiron ke sath hai”.

Jab Talooth ki haakmiyat par ALLAH TA’ALA ki taraf se nishani aa gai to bani israel ko yaqeen ho gaya wo unke zere qayaadat maidaan jung mein nikalne ke liye taiyar ho gaye. Talooth ne ailaan kiya jo log apne makanon waghaira ki tameer mein mashgool ho’n abhi tak tameer se faarigh na huye ho’n wo mere sath na niklein aur taajir jo tijaarat mein mashgool ho’n wo bhi mere sath na niklein aur jinhone nai nai shadiya ki ho’n aur abhi jima’a (sohbat) na kar chuke ho’n wo bhi mere sath na chalein, mere sath chalne wale sirf naujawan, furteele aur tamam dunyavi haajat se faarigh hone chahiye, maqsad ye tha ke maidane jung mein aakar kisi ko bhi ghar ki yaad na aaye ke mujhe fulan kaam karna tha jo mukammal nahin hua tha.

Hazrat Talooth jab bahut bada lashkar lekar shehari hudood se baahar huye to ALLAH TA’ALA ke Nabi Ashmoo’il alaihissalam ne ya hazrat Talooth ne lashkar ko bataya ke ALLAH TA’ALA ek nehar se tumhara imtehaan lene wala hai jisse usne paani pi liya wo mere deen par nahin aur jisne uska paani na piya wo hi mera muteea (farmabardar) hoga aur mere deen par qaa’im hoga haan sirf chullu bhar paani usse lene ki ijazat hogi, ye aazmaish unke liye bahut sakht thi kyun ke un par pyaas ki shiddat ka ghalba tha paani ko dekh kar sabr karna unke liye bahut dushwar tha tamam lashkar walon ne usse paani pi liya sirf 313 the jo is imtehaan mein kamyaab huye the unhone sirf ek chullu paani pi liya tha. ALLAH TA’ALA ne is chullu bhar paani mein itni barkat rakh di thi ke inhein bhi kaafi hua aur wo hi chullu unke khaadimon aur unki sawariyon ko bhi kaafi ho gaya.

“Ye us waqt ke Nabi ka mojiza tha jis tarah ALLAH TA’ALA Nabi Kareem ﷺ ke zamane mein thode paani se bahut badi makhlooq ko sairab karta raha yahan kai martaba hua”.

239 tAZKIRATUL AMBIYA Hazrate Ashmooil

Jo log aazmaish mein nakaam ho gaye ALLAH TA’ALA aur uske Nabi ke ahkaam ke nafarman ho gaye wo buzdil ho gaye aur kehne lage hum to aaj Jalooth aur uske lashkar se jung karne ki taaqat nahin rakhte isse ye waazeh ho gaya ke ALLAH TA’ALA aur uske Rasool ke ahkaam ko na tasleem karne ki wajah se insaan kafiron se jung karne ki taaqat nahin rakhta yehi wajah hai ke aaj tamami islami mamaalik (country) kuffar se darr kar zindagi guzaar rahe hain. Jo log is imtehaan mein kamyaab ho gaye the unhein ALLAH TA’ALA ne ye barkat ata ki ke unhone apne aapko jihaad ke liye taiyar kar liya aur unhein ye yaqeen ho gaya ke maut to ek din aani hi hai to ALLAH TA’ALA ki ita’at mein jaan dekar jaawidani zindagi kyun na haasil ki jaaye jab ke ek din Rab se mulaqaat bhi karni hai to kamyaabi ki mulaqaat ho isse sawaab mile aur uski raza haasil ho wo mulaqaat kya jismein ALLAH TA’ALA ki narazgi aur azaab haasil ho? Unhein yaqeen ka wo aala darja haasil ho gaya ke kehne lage ke kitni thodi jama’atein badi jama’aton par ghaalib aa jaati hain. Beshak zyada log hum se phir chuke hain hum thode reh chuke hain lekin jab ALLAH TA’ALA ki taraf se humein imdaad haasil hogi to hum zarur kamyaab ho jayenge.

Qaum ko aazmane ki wajah

Qaum bani israel ka ye tareeqa tha ke wo apne Nabi ki mukhalifat hi karte the isliye unhein aazmaya gaya ke siddique aur zindeeq muteea aur aasi mein farq ho jaaye. Jo ALLAH TA’ALA ko yaad karne wale hain unko sath liya jaaye, mukhalifeen ko sath na liya jaaye isliye ke dushman ke muqable mein jaane se pehle hi pichhe hat jaana dusre musalmanon ke liye zyada pareshani ka sabab nahin tha lekin dushman ke muqable mein jakar agar wo bhaag aate to bahut badi pareshani ka sabab hota aur bhaag ne walon ko bhi zyada zillat hoti.

Dawood alaihissalam ka jaLooth ko qatl karna

“Aur qatl kiya Dawood ne Jalooth ko aur ALLAH TA’ALA ne usey saltanat aur hikmat ata farmai aur usey jo chaha sikhaya”

Hazrat Dawood alaihissalam bakriyan charate the aap gulaakhan (patthar phenk ne ka aala) ke zariye bhediyon aur sheron ko patthar maarte the aapke saat(7) bhai Taalooth ke sath maidane jung mein the jab unko khabar pahunchne mein kuchh der ho gai ke kis haal mein hain to aapko aapke baap ‘Eisha’ ne bheja ke jao aur bhaiyon ki khabar lo, aap alaihissalam aaye to dekha ke bhai jung karne ke liye ek saf (line) mein khade hain aur Jalooth bani israel ko keh raha hai ke agar tum haq par ho to mere muqable ke liye koi nikle Dawood alaihissalam ne apne bhaiyon ko kaha ke tum is ghair khatna shuda (kaafir) ko qatl kyun nahin karte? Lekin uski bahaduri ke peshe nazar koi uske muqabil jaane ke liye taiyar nahin tha aap alaihissalam jab dusri saf mein gaye to dekha Talooth logon ko Jalooth ke qatl karne par ubhaar rahe hain aap alaihissalam ne kaha jo ise qatl kare usse tum kya sulook karoge? Talooth ne kaha usey apni beti nikah mein dunga aur aadhi badshahi dunga.

Hazrat Dawood alaihissalam ko raaste mein chalte huye teen pattharon ne aawaz dekar kaha tha ke humein utha lo Jalooth ka qatl hum mein hai, aap ne wo patthar utha liye the ek patthar Jalooth ke seene par maara wo qatl ho gaya aap ne kai aur logon ko bhi qatl kiya is tarah Jalooth aur uske lashkar ko shikast (haar) ho gai, Is tarah ALLAH TA’ALA ne hazrat Dawood alaihissalam ko badshahi aur nubuwat ata kar di.

Leave a Comment