Hazrat Ayyub alaihissalam
“Aur Ayyub (alaihissalam) (ko yaad karo) jab usne apne Rab ko pukara ke mujhe takleef pahunchi aur too sab reham karne walon se badh kar reham karne wala hai to hum ne uski dua sun li to hum ne door kar di jo takleef usey thi aur hum ne usey ghar wale aur itne hi unke sath aur ata kiye apne paas se rehmat farma kar aur bandagi walon ke liye naseehat hai”.
Hazrat Ayyub alaihissalam ke baap ka naam “anoos”, aap hazrat Is’haaq alaihissalam ke bete “Eis” ki aulaad se hain. Aap alaihissalam ki waalida hazrat Looth alaihissalam ki aulaad se hain aap ki zauja ka naam “Rehmat” hai jo hazrat Yusuf alaihissalam ke bete “afra’im” ki beti thi.
Huliya mubarak
Hazrat Ayyub alaihissalam ke baal ghunghriyaale, aankhein moti, khubsoorat shakl wa soorat, bahut khubsoorat gardan chhoti, seena chauda, pindliyan aur kalaiyan moti thi aur aapka qad lamba tha.
Aapke ausaaf
Aap miskeenon par reham karte the, yateemon ki kafaalat farmate the, bewa auraton ki muawanat (imdaad) karte, mehmanon ke sath izzat wa takreem aur khanda peshani se pesh aate.
Maal wa daulat ki farawaani
ALLAH TA’ALA ne aazmaish se pehle aap ko kaseer maal wa daulat de rakha tha kheti baadi, baagh garz ke har qism ke maal wa daulat se nawaza, har qism ke janwar yaani bhed bakriyan gaaye bhains unt waghaira ki kasrat thi, 500 jodiyan bailon ki hul chalane wali thi, 500 ghulaam khidmat guzaari ke liye phir har ghulaam ki zauja aur aulaad bhi bataur khuddam aapke paas rehte the.
Aazmaish se pehle aulaad
“Aapke saat bete aur saat betiyan thi”
Firishton mein aapki bulandi e shaan ka charcha
Hazrate Jibreel alaihissalam ko ALLAH TA’ALA se jo qurb haasil hai wo dusre firishton ko haasil nahin, ALLAH TA’ALA unse ba raahe raast kalaam farmata hai. ALLAH TA’ALA apne bandon mein se jab kisi ko pasand farmata hai to uska zikr Jibreel ameen se karta hai wo Meeka’il alaihissalam se zikr karte hain wo dusre muqarrab firishton se zikr karte hain jab un muqarrab firishton mein ALLAH TA’ALA ke us khaas bande ke zikr ka charcha ho jaata hai to tamam firishte us par rehmatein nichhawar karte hain phir aasmaan ke tamam firishte rehmatein bhejte hain phir zameenon ke firishte us bande par rehmatein bhejte hain, hazrat Ayyub alaihissalam ka bhi isi tarah tamam firishton mein zikre khair ka charcha hota rehta tha.
Aazmaish ki ghadiyan
ALLAH TA’ALA kabhi apne muqarrab bandon ko shadeed mushkilaat mein mubtala karke aazmata hai ke wo mera banda kitna sabr karta hai, masaib wa aalam mein koi shikwa to zabaan
184 tAZKIRATUL AMBIYA Hazrate Ayyub
par nahin laata aur kabhi ALLAH TA’ALA bahut maal wa daulat ata karke aazmata hai ke mera banda kitna shukriya ada karta hai?
Hazrat Ayyub alaihissalam ko pehle aaram wa sehat, maal wa daulat, aulaad aur har tarah ki khushiyan ata karke aazmaya ismein bhi aap ne azeem kamyaabi haasil ki aap alaihissalam ne shukriya ada karke be misaal namoona pesh kiya iske baad aazmaish ka dusra daur shuru hua ke zameen ke neeche se qudrati aag ne aapke baghaat khetiyan unt bakriyan charwahe jala kar raakh kar diye. Jab aap ko pata chala to aap ne kaha “Ye sab maal wa daulat Allah ne hi ata kiya tha wo hi iska maalik haqeeqi hai jab wo hi iska haqdaar hai to usey haq pahunchta hai jab chahe le le mujhe ismein kuchh kehne ki koi majaal nahin”.
Aapki aulaad ek makaan mein thi wahan zalzala aaya makaan gir gaya aapki aulaad faut ho gai, makaan ki chhat aur deewarein girne se aapke bachhon par kya haal guzra hoga, jism chakna choor huye honge, haddiyan tooti hongi, sar phate honge, khoon ke fawware chale honge lekin ye haal sun kar bhi Allah ke Nabi ne sabr ka kamaal muzaahira kiya wo hi alfaaz zabaan par ke sab kuchh Rab ta’ala ka hai jo chahe kare.
Aapke jism mein shadeed haraarat se aisa asar hua yoon mehsoos hota ke aapke jism mein aag ke shole bhadak uthe hain, sar se lekar qadam tak aable pad gaye, shadeed khaarish hone lagi, nakhoonon se jism ko khujlaate rahe yahan tak ke nakhoon gir gaye phir thikriyon ya pattharon se apne jism ko khujlaate, jism shadeed zakhmi ho gaya zakhmon mein boo aane lagi, unmein keede1 pad gaye, saare jism mein sirf aankhein dil aur zabaan mehfooz the. Ibne asaakir ne bayan kiya “Hazrat Ayyub alaihissalam ke jism se agar koi keeda neeche gir jaata to aap phir usey apni jagah lauta dete aur kehte ALLAH TA’ALA ne jo rizq tumhein diya hai wo khao”.
(1) Hazrate Ayyoob alaihissalam ke jism mein keede padne ka waqiya Hafiz Ibne Asakir aur Hafiz Ibne Kaseer dono ne bani israyeel ke ulama se naqal kiya hai aur inki itteba mein mufassireen ne bhi zikr kiya hai lekin humare nazdeek ye waqiya sahih nahin kyunki Allah ta’ala Ambiya alaihimussalam ko aise haal mein mubtala nahin karta jisse logon ko nafrat ho aur wo un se ghin khaayein. Hazrate Ayyub alaihissalam ke jism mein keede padne ki riwayatein aur iske mutalliq tehqeeq humare risale “Hazrate Ayyub alaihissalam ke waqiye par Tehqeeq” ko mulahiza farmayein.
185 {Abde Mustafa} tAZKIRATUL AMBIYA Hazrate Ayyub
Mushkil ka sathi
Aapki bimari ne jab shiddat ikhtiyar kar li to tamam aqriba ne aapko chhod diya balki shehar se baahar aapko ek jhopdi bana kar de di gai ke ye marz kahin dusron tak na pahunch jaaye, jab wo saare sath chhod gaye to us waqt aapki zauja jiska naam rehmat bint afra’im bin Yusuf tha wo ba dastoor aapke sath rahi, aapki khidmat guzaari mein rahi, aap alaihissalam ki dekh bhaal karti, aapko khana faraaham karti, aapki zaruriyaat ka har tarah khayaal karti. SubhanAllah Allah ke Nabi Yusuf alaihissalam ki poty kitni nek aur saabra thi.
Ayyub alaihissalam ka be misaal sabr
Ek din aapki khidmat guzaar, wafadaar, nek she’aar, ba muraad nek zauja ne arz kiya “Kaash tum ALLAH TA’ALA se dua karte ALLAH TA’ALA tumhari takleef door farma deta” ye sun kar aapne farmaya “Aesh wa ishrat, raahat wa sukoon, maal wa daulat ki farawaani mein kitna waqt guzra? Aapki zauja ne arz kiya bahut waqt guzra ek riwayat mein hai ke aapki zauja ne kaha 80 saal guzre hain” to aap alaihissalam ne irshad farmaya “Mujhe ALLAH TA’ALA se sharm aati hai ke main usse dua karu jab ke meri aazmaish ka waqt itna bhi nahin hua jitna meri aasaish ka waqt tha”.
Zauja ki ghalti par narazgi ka izhaar
Ek martaba aapne zauja ko talab kiya to der se haazir hone par aap naraz ho gaye mumkin hai bimari ki wajah se tabiyat mein sakht mizaji aa gai ho, zyada munasib ye baat maloom hoti hai ke itni badi narazgi ki wajah bhi yaqeenan koi badi hogi jaise mufassereen ne ek wajah ye bayan kiya hai shaitan aapki zauja ke paas tabeeb ki soorat mein aaya aur kehne laga ke tumhare khawind bahut badi takleef mein mubtala hain agar tum chahti ho to main unhein dawa deta hoon jisse wo theek ho jayenge jab wo sehatyaab ho jayein to wo iske badle mein shukriya sirf in alfaaz mein ada karein “Too ne mujhe shifa di” aapki zauja ne ye baat mamooli samjhi aur unka khayaal ban gaya ke is par amal karna to aasan hai.
Jab hazrat Ayyub alaihissalam ke saamne aakar usne poora maajra bayan kiya to aap alaihissalam ne samajh liya ke shaitan mere imtehan mein mujhe nakaam karna chahta hai, aap alaihissalam apni zauja se naraz ho gaye aapne farmaya agar main theek ho gaya to tumhein 100 kode marunga, abhi tumhare hathon se main koi cheez nahin khaunga. Isi wajah se hazrat Ayyub alaihissalam ne Rab ke huzoor arz kiya:
“Mujhe shaitan ne takleef aur iza laga di”.
Aazmaish ka waqt khatm hota hai
“Aur Ayyub (alaihissalam) ko yaad karo jab usne apne Rab ko pukara ke mujhe takleef pahunchi aur too sab reham karne walon se zyada reham karne wala hai to humne uski dua sun li to humne door kar di jo takleef usey thi aur humne uske ghar wale aur unke sath itne hi ata kiye apne paas se rehmat ata karke aur bandagi walon ke liye naseehat hai”.
Hazrat Ayyub alaihissalam ne bahut hi pyaare lateef andaaz mein apni pareshan haali takaalif ka tazkira kiya, Rab ki be hisaab rehmat ka zikr kiya gaya lekin ye arz nahin kiya ke aey maula e kainaat meri takleef ko door farma kaisa sabr hai aur Rab ke huzoor ilteja karne ka kaisa haseen andaaz hai.
Chashmae shifa
“Rab ta’ala ne farmaya zameen par apna paanv maaro ye hai thanda chashma nahane aur peene ko”
Aapko hukm hua ke aap apna paanv zameen par maaro to isse chashma jaari hoga isse paani piyo aur nahao tumhein shifa haasil hogi. Aapko nahane se zaahiri jism ki tamam bimariyon se shifa haasil ho gai aur paani peene se andruni tamam bimariyon se shifa mil gai. ALLAH TA’ALA ne aapko jannati libaas ata farmaya aap alaihissalam libaas zeb tan karke ek taraf hokar baith gaye aapki zauja aai to usne aapko na pehchana wo aap hi se puchh ne lagi aey Allah ke bande yahan ek beemar shakhs tha wo kahan gaya? Pareshan hokar puchha kahin bhediye to nahin le gaye baar
186 tAZKIRATUL AMBIYA Hazrate Ayyub
baar pareshani se jab puchh rahi thi to aap alaihissalam ne kaha ALLAH TA’ALA tum par reham kare main hi Ayyub hoon ALLAH TA’ALA ne mujhe shifa ata kar di hai.
Maal wa aulaad wapas mil gaye
“Jamhoor hazraat ka ye qaul hai ke ALLAH TA’ALA ne aapki tamam faut shuda aulaad ko zinda kar diya aur mareezon ko aafiyat de di aur tamam bikhre huwo ko jama kar diya”. Ek qaul ye bhi hai ke aap ko dobara shabaab (jawani) ata farmai aur phir pehli aulaad ki tarah aur aulaad ata farma di, isi tarah aapko kaseer maal wa daulat ata farmaya.
Ek riwayat mein ye bhi hai ke aap par ALLAH TA’ALA ne sone ki makdiyon ki baarish ki, aap alaihissalam pakad pakad kar ek kapde mein daalte rahe yahan tak ke aapne ek chaadar bichha kar usmein jama karna shuru kiya to ALLAH TA’ALA ne aapki taraf ‘wahi’ ki ke “Aey Ayyub tum sair nahin hote?” Aapne arz kiya aey maula e kainaat tere fazl se kaun sair ho sakta hai? Aap alaihissalam ne 18 saal bimari aur takleef mein guzaare the phir raunaqein bahaal ho gai.
Aapki zauja ki mushkil Rab ne aasan kar di
Choonki aapne shara’i uzr aur ALLAH TA’ALA ki razamandi ki khaatir zauja se naraz hokar qasam utha di thi ke main durust hokar tumhein 100 kode marunga ab tandurust hone par qasam ko poora karna laazim tha ALLAH TA’ALA ne apni rehmat se ALLAH TA’ALA ke Nabi ki zauja ko kodon se bacha liya kyun ke ALLAH TA’ALA ke Nabi ne bhi usi ki raza ke liye qasam uthai thi lekin unki zauja ne bhi Rab ki raza ki khaatir hi apne khawind ki us waqt khidmat ki jab sab log chhod chuke the. Is tarah Rab ne donon ki ada ko pasand kiya na Nabi ko mana kiya aur na unki zauja ko kode lagane diye.
ALLAH TA’ALA ne irshad farmaya:
“Farmaya ke apne hath mein ek jhadoo lekar ise maar de aur qasam na tod beshak humne ise saabir paaya kya achha banda hai beshak wo bahut rujoo laane wala hai”.
Aapko ALLAH TA’ALA ne hukm diya ke aap 100 teeliyon (tinkon) wala ek jhadoo lein apni zauja ko maar dein is tarah aapki qasam poori ho jayengi. Ye ALLAH TA’ALA ki shaan e kareemi hai ke usne khud apne fazl wa karam se hazrat Ayyub alaihissalam ko ye ijazat di warna koi aur insaan aisi qasam uthaye to uski qasam is tarah jhadoo maarne se poori nahin hogi balki uske liye ye laazim hoga ke wo qasam ko tod de aur kaffara ada kare.
Khayaal rahe ke kisi shara’i kaam mein ALLAH TA’ALA aur uske Rasool ﷺ ki taraf se riyaayat mile to ye unki meharbani hai wo maalik hain chahein to maaf kar dein aur chahein to usmein aasani ki raah paida kar dein lekin insaan khud koi aisa heela kare ke uski wajah se hukm shara’i usse tal jaaye ye najaiz hai, insaan kisi aise heele ko ikhtiyar kare ke zakaat ada na karni pade ya roze garmiyon mein na rakhne padein balki sardiyon mein qaza karenge is tarah ke hathkande baghair uzr shara’i ke baatil honge.
Allama Aalusi rahmatullahi ta’ala alaihi farmate hain “Mere nazdeek har heela jismein shara’i ahkaam ki hikmat ka baatil hona laazim aaye wo qabool nahin kiya jayega, jis tarah koi heela kare ke mujh par zakaat laazim na aaye waghaira”. ALLAH TA’ALA har musalman ko aasaish mein uski nematon ka shukr karne aur aazmaishon mein sabr karne ki taufeeq ata farmaye, rizq halaal ata farmaye aur nek wafadaar zauja ata farmaye. Aameen summa aameen.
187 tAZKIRATUL AMBIYA Hazrate Ayyub
Tambeeh: Hazrat Allama Qurtubi rahmatullahi ta’ala alaihi ne Ibne Arabi rahmatullahi ta’ala alaihi ka qaul naql kiya hai ke hazrat Ayyub alaihissalam ke jism mubarak mein keede padne ka waaqiya sanad ka mohtaaj hai yaani sanad sahih se saabit nahin hai lekin khayaal rahe ke ise Allama Aalusi rahmatullahi ta’ala alaihi ne sahih sanad ke sath saabit kiya hai, aap rahmatullah alaihi farmate hain “Ahmad Abu Nuaim aur Ibne Asaakar ne bayan kiya hai ke Hazrat Hasan Basari se riwayat hai ke hazrat Ayyub alaihissalam ke jism mubarak mein ma’a siwaye aankhon, dil aur zabaan ke koi jagah nahin thi jahan keede na pade ho’n jab koi keeda neeche gir jaata to aap usey utha kar phir apni jagah rakh dete aur farmate ALLAH TA’ALA ke rizq se kha jo usne tujhe diya hai”.
Motazila ne bhi keede padne wali riwayat par aiteraaz kiya hai albatta Imam Raazi rahmatullahi ta’ala alaihi ne ise jaiz qaraar diya hai kyun ke Ambiya -e- kiraam par aazmaish zyada hoti hai. Keede padne ka zikr Tafseer Baizawi, Tafseer Baghwi, Tafseer Mazhari aur Tafseer Kabeer waghaira mein kiya gaya hai.