Hazrat Uzair alaihissalam
“Ya (kya aap ne nahin dekha) misl iske jo guzra upar basti ke halanki wo giri hui thi upar chhaton ke? Aap ne kaha ke kaise zinda karega isko ALLAH TA’ALA marne ke baad to ALLAH TA’ALA ne usey maut di (murda rakha) 100 baras phir uthaya ise kaha kitna thehra to kaha thehra main ek din ya kuchh hissa din ka kaha balki thehre ho tum 100 baras pas dekho tum apne khane aur peene ki taraf ab tak boo na laaya aur apne gadheh ki taraf dekho (jiski haddiya tak salamat nahin rahi) aur taaki karein hum aapko nishani waaste logon ke aur dekho gadhe (ki haddiyon) ki taraf kaise uthate hain hum inko? Phir pehnate hain hum unko gosht. Pas jab un par maamla zaahir hua to kaha main jaanta beshak ALLAH TA’ALA har cheez par qaadir hai”
Baitul Muqaddas par Bakhte Nasar ka Hamla
Bani israel baitul muqaddas mein aabad the jab wo apne gunahon nafarmani fisq wa fujoor mein hadd se tajaawuz kar gaye aur apne Nabi ki ita’at (pairwi) na ki to bakhte nasar ne baitul muqaddas par sakht hamla kiya aur qabza kar liya ye Eisa alaihissalam se taqreeban 600 saal pehle ka waaqiya hai.
Iske sath 6 laakh alambardar (jhanda uthane wale) the aur har jhande ke neeche be shumar fauj thi usne baitul muqaddas ko veeraan kar daala, taurat shareef ke tamam nuskhe jala diye, bani israel ke taqreeban ek tihai logon ko qatl kar diya aur ek tihai logon ko shaam (syria) ke ilaaqe mein bahut zillaat se rakha aur ek tihai ko qaidi bana liya yaani bani israel ko teen hisson mein taqseem kar liya tha un qaidiyon mein hazrat Uzair aur Daniyaal bhi the jo us waqt bachpan ki umr mein the.
Hazrat Uzair alaihissalam ka Taajjub aur Maut
Bahut arsa ke baad jab kuchh log qaid se aazad huye to un aazad hone walon mein Uzair bhi the Uzair alaihissalam baitul muqaddas se guzre jo us waqt barbaad ho chuka tha ab idher udher phire lekin aapko koi nazar nahin aaya albatta baghon mein mukhtalif qism ke darakht phalon se bhare huye the phalon ko khane wala koi na tha aap ne kuchh injeer aur angur tod kar khaye aur unka ras nikaal kar piya aur kuchh injeer aur angur toshadaan mein rakh liye aur kuchh ras bhi apne paas rakh liya jab aap ne veeraan aabadi ko dekha to bade taajjub se afsurda haal mein kehne lage Rab ise phir zinda karega uski kaisi azeem qudrat hogi?
Sawaal Rab ki qudrat mein shak ke taur par nahin tha balki apne taajjub ka izhaar tha ke Rab isi basti walon ko phir zinda kaise karega? ALLAH TA’ALA ne aapko apni qudrate kaamila par muttala karna chaha, hazrat Uzair alaihissalam jis gadheh par sawaar the usey baandha aur apne khane peene ke phal waghaira aur angur ka ras jo nichod kar aap ne apne paas rakha hua tha inhein qareeb hi rakh kar so gaye soye huye haal mein hi aap par maut ko musallat kar diya gaya aapka gadha bhi mar gaya ye waaqiya taqreeban dopehar se pehle ka hai.
100 Saal Baad Dobara Zindagi aur Qudrat ka Mushahida
Jis tarah namrood ke naak mein machchhar ghus gaya aise hi bakhte nasar yaani shaddad ki naak mein bhi machchhar ghus gaya tha jisse wo mar gaya isi tarah bani israel ko aazadi mil gai taqreeban 70 saal ke baad faaras ke badshahon mein se ek badshah apni faujein lekar baitul muqaddas pahuncha to usne baitul muqaddas ko pehle se bhi behtar taur par aabad kar diya. Bani israel jo bakhte nasar ke mazaalim ki wajah se idher udher bikhar gaye the phir baitul muqaddas mein aabad ho gaye, tees saal tak ye log kaafi had tak behtar haal mein aa gaye aur unki nasl mein bhi
241 tAZKIRATUL AMBIYA Hazrate Uzair
izaafa ho gaya, 100 saal ke baad ALLAH TA’ALA ne Uzair alaihissalam ko zinda farma diya.
Itne arse mein ALLAH TA’ALA ne aapko apni qudrate kaamila se logon ki nigahon se makhfi (chhupaye) rakha aur aapko darinde, parinde, charinde waghaira bhi itna arsa na dekh sake. Aap par wafaat subah ke waqt dopehar se pehle aai thi aur aap zinda shaam ke waqt huye yehi wajah thi ke jab Rab ne aap se puchha ke kitni der yahan thehre ho to aap ne arz kiya ek din ya isse bhi kuchh kam yaani aapka khayaal tha ke main aaj subah hi yahan leta hoon isliye pehle aap ne ek din kaha phir khayaal kiya ke abhi to ek din bhi mukammal nahin hua balki din ka kuchh hissa thehra hoon, ALLAH TA’ALA ne aapko bataya yahan 100 saal ho chuke hain.
SubhanAllah maalikul mulk ki kitni azeem qudrat hai? 100 saal Uzair alaihissalam par maut taari rahi, jism mukammal taur par mehfooz raha, khane peene ki ashiya jyu ki tyu (jaise ke waise) rahi aur aapke saamne Rab ne gadheh ko zinda karke apni qudrat ka mushaahida kara diya. Gadhe ki haddiyon ko hukm hua jo aapas mein aakar mil gai aapke saamne un haddiyon par gosht chadha kar gadheh ko aawaz di ab tum zinda ho jao wo zinda ho gaya ye sab kuchh aanan faanan ho gaya.
Ahle Khana aur Basti Walon se Mulaqaat
Ab aap zinda hokar shehar mein aaye to dekha shehar to pehle se zyada achhe tareeqe se aabad hain bani israel ke naye naye log bhi hain jo aapke baad paida huye the. Aap par jab maut musallat hui thi us waqt aapki umr 40 baras tak thi aur ab bhi wo hi 40 baras thi, shehar se baahar jab aap gaye the aapke bete ki umr 18 baras thi ab uski umr 118 baras thi balki aapke potey bhi budhe ho chuke the.
Aap jab apne makaan mein tashreef laaye to wahan aapki mulaqaat ek budhiya se hui jo aapki laundi thi ab uski umr 120 saal ho chuki thi budhape ki wajah se taange kamzor ho chuki thi chalne se aajiz ho chuki thi beenai khatm ho chuki thi. Sau saal guzar jaane ki wajah se makanaat ke naqshe badal chuke the nayi nayi tameeraat ki wajah se aapko apne makaan ka sahi taayyun nahin tha yaani ye yaqeen nahin tha ke ye humara hi makaan hai andaze se gaye the.
Jab aap ne budhiya se puchha ke Uzair ka yehi makaan hai to wo rone lagi aur kehne lagi itne arse baad Uzair ka naam lene wala kaun hai wo to sau saal se ghum ho chuka hai. Aap ne farmaya main hi Uzair hoon ALLAH TA’ALA ne mujhe sau saal murda rakh kar zinda farma diya hai. Us budhiya ne kaha ke agar tum sach keh rahe ho to ALLAH TA’ALA se dua karo mujhe nazar ata kare ke main tumhein dekh kar pehchan saku aur isliye bhi ke ALLAH TA’ALA Uzair ki dua qabool farmata tha aapki dua ke qabool hone ki wajah se bhi yaqeen aa jayega ke tum hi Uzair ho.
Aap ne dua farmai to usey nazar mil gai aur uski taange bhi theek ho gai wo chalne ke qaabil ho gai ab usne aapko pehchan liya aapke sath aapke bete aur dusre ahle khana ke paas laai ke Uzair aa gaye hain. Sab log sun kar taajjub kar rahe the ke ye kaise ho sakta hai ke Uzair sau saal baad aa gaye ho’n, us budhiya ne bataya ke tum mujhe nahin dekh rahe ke mujhe inki dua se ALLAH TA’ALA ne nazar ata ki chalne phirne ke qaabil bana diya. Aapke bete ne kaha ke mere baap ke donon kandhon ke darmiyaan syaah baal chaand ki shakl mein the jab aapke kandhon ko dekha gaya to usi tarah baal maujood the.
Tauret ka Dobara Likhwana aur Qaum ki Gumrahi
Bakhte nasar ne Tauret ke tamam nuskhe jala diye the Tauret kisi ko yaad na thi balki kutub sirf Ambiya -e- kiraam ko hi yaad hua karti thi logon ne kaha ke agar tum Uzair ho to tauret sunao aap ne unhein tamam tauret lafz ba lafz likhwa di, kisi ek harf ka bhi farq na aane diya. Us waqt
242 tAZKIRATUL AMBIYA Hazrate Uzair
ek shakhs bola ke maine dada se suna tha ke bakhte nasar ke mazaalim ki wajah se mere dada ne tauret ka ek nuskha dafan kar diya tha. Hazrat Uzair ne us nuskhe ke dafan ki jagah ki nishandehi bhi farmai jab wo nuskha nikaala gaya to uska muqabla is nuskhe se kiya gaya jo aap ne tehreer karaya to kisi ek lafz ka bhi farq nahin paaya gaya.
Logon ne aapka ye mojiza dekh kar aapko ALLAH TA’ALA ka beta kehna shuru kar diya. ALLAH TA’ALA ne irshad farmaya:
“Yahoodiyon ne kaha Uzair ALLAH TA’ALA ka beta hai”