Hazrat Zakariya, Hazrate Eisa, Hazrat Yahya Alaihimussalam

Hazrat Zakariya, Hazrate Eisa, Hazrat Yahya Alaihimussalam

Eisa alaihissalam ki naani ka nazar maanna

“Jab Imraan ki beewi ne arz ki aey mere Rab main tere liye nazar maanti hoon jo mere pet mein hai khaalis teri khidmat mein rahe to too mujh se qabool kar le beshak too hi hai sunne waala jaanne waala”

Eisa alaihissalam ki waalida ka naam Maryam naani ka naam Hanna naana ka naam Imraan hai, Hanna ki ek aur behan thi jiska naam Eisha tha ye donon Faaqooz ki betiyan hain, hazrat Imraan aur hazrat Zakariya alaihissalam donon ek hi zamane mein huye, Hanna Imraan ke nikah mein thi aur Eisha Zakariya alaihissalam ki zaujiyat mein thi, Eisha hazrat Yahya alaihissalam ki waalida hain is tarah Eisa alaihissalam ki waalida hazrat Maryam aur hazrat Yahya alaihissalam khaalazaad hain.

Aitraaz: Bukhari wa Muslim mein waaqiya meraaj ka zikr karte huye Nabi Kareem ﷺ ka irshad hai “phir meri mulaqaat do khaalazaad yaani Eisa ibne Maryam aur Yahya bin Zakariya alaihimussalam se hui” Is hadees se waazeh hua ke ye donon hazraat khud khaalazaad the.

Jawab: Saahibe Taqreeb ne jawab diya ke hadees paak mein “majaaz” paaya gaya hai kaseer taur par khaala ki beti ko izzat wa takreem ke peshe nazar khaala keh diya jaata hai (jaise humare riwaaj mein maa’n ki khaala aur maamu ko bachhe khaala aur maamu keh dete hain). Maqsad sirf in donon Ambiya -e- kiraam ki qurbat ko bayaan karna hai ke in donon mein ba aitebaar khaala ka rishta paaya gaya hai.

Khayaal rahe ke jamhoor ulama ka yehi mazhab hai lekin muhiussunna rahmatullah alaihi aur Allama Raazi rahmatullah alaihi qaa’il hi iske hain ke hazrat Zakariya alaihissalam ki zauja hazrat Maryam radiallaho ta’ala anha ki behan thi.

Ibne Asaakir ne Hazrat Ibne Abbas radiallaho ta’ala anhuma se riwayat ki hai Imraan ki zauja Hanna ki aulaad nahin thi ye budhape ki umar tak pahunch chuki thi ek din darakht ke saaye mein baithi thi unhone ek parinde ko dekha jo apne bachhon ko chog khila raha tha to aapke dil mein bhi aulaad ki khwahish paida hui to aap ne ALLAH TA’ALA ke huzoor mein arz kiya aey ALLAH TA’ALA mujhe bachha ata farma aapki dua ko qabool kar liya gaya jab aap haamila ho gai to aap ne nazar maani ke mere pet mein jo bachha hai ise main baitul muqaddas ki khidmat ke liye waqf kar dungi jo tere ghar ki khidmat guzaari karega agarche aap ne sirf itna hi kaha tha jo mere pet mein hai lekin is se muraad muzakkar (ladka) tha kyun ke us waqt baitul muqaddas ki khidmat ke liye muzakkar (ladka) bachhe hi waqf kiye jaate the muannas (ladki) bachhiyan waqf nahin ki jaati thi jab aap ne apni nazar ka zikr apne khaawind (shauhar, husband) se kiya to unhone kaha ke agar tumhari bachhi paida ho gai to phir kya karogi? To unhone phir Rab ta’ala ke huzoor arz ki “aey ALLAH TA’ALA meri nazar qabool kar” yaani mujhe bachha hi ata kar taaki main usey baitul muqaddas ki khidmat ke liye waqf kar saku.

322 tAZKIRATUL AMBIYA Hazrate Zakariya wa eisa wa yahya

Hazrat Hasan Basri radiallaho ta’ala anhu farmate hain ke hazrat Maryam ki waalida ne jo nazar maani thi wo darhaqeeqat ALLAH TA’ALA ki taraf se aapko ilhaam hua tha agar ilhaam na hota to shayad aap nazar bhi na maanti, ye aise hi tha jis tarah Ibrahim alaihissalam ne khwaab mein apne bete ko zibah karte huye dekha to yaqeen kar liya ke ye ALLAH TA’ALA ka hukm hai halanki ismein sarahatan “wahi” naazil nahin hui thi isi tarah hazrat Moosa alaihissalam ki waalida ne bhi ilhaam ke zariye hi aapko sandooq mein band karke dariya mein daal diya tha.

Bachhi paida hone par hasrat

“Phir jab usne pesh kiya boli aey mere Rab maine ladki pesh ki hai aur ALLAH TA’ALA ko khoob maloom hai jo kuchh wo pesh ki aur wo ladka jo usne maanga us ladki sa nahin aur maine uska naam Maryam rakha aur main usey aur uski aulaad ko teri panaah mein deti hoon raande huye shaitan se”

Hazrat Maryam radiallaho ta’ala anha ki waalida ne ladke ko baitul muqaddas ki khidmat mein waqf karne ki nazar maani thi kyun ke us waqt unki shari’at mein ladkon ki hi nazar maani jaati thi ladkiyon ki nahin, muzakkar hi ibadat ke maqaam ki humesha khidmat kar sakte hain muannas ko ye maqaam haasil nahin kyun ke unko haiz (maahwaari) ka aariza laahiq hota hai, muzakkar apni quwwat aur taaqat ki wajah se jo khidmat kar sakta hai wo muannas nahin kar sakti kyun ke usmein taaqat ki kami hoti hai, muzakkar khidmat ke maamlaat mein logon se mel jol rakh sakta hai uske liye aeb nahin lekin muannas ke liye logon se ikhtelaat aeb hai, muzakkar ke liye mardon se milne julne mein koi tohmat aa’id nahin hoti lekin muannas ke liye tohmat hai jab ladki paida ho gayi to khauf laahiq hua ke ab main nazar kaise poori kar sakungi uzr pesh karte huye aur hasrat ka izhaar karte huye Rab ta’ala ke huzoor arz kiya “aey mere Rab maine bachhi jani (paida ki) ab main kya karu nazar ko kaise poora karu” to Rabbe quddus ne farmaya “aur ALLAH TA’ALA ko khoob maloom hai jo kuchh usne jana (paida kiya)”.

Jo ladka tumhara matloob tha wo us ladki jaisa nahin jo ALLAH TA’ALA ne tumhein ata ki hai yaani tum to sirf baitul muqaddas ki khidmat ke liye waqf hone ke liye ladka jo talab kar rahi thi lekin ALLAH TA’ALA ne tumhein wo ladki ata ki jise Eisa ruhullah ki maa’n hone ka sharf haasil hona hai arz kiya aey ALLAH TA’ALA maine iska naam Maryam rakha Maryam ibraani zabaan mein aabida (ibadat karne waali) ke maayne mein istemaal hota hai ye naam rakh kar ALLAH TA’ALA se darkhwast ki gai ise deen wa dunya ki aafaat se mehfooz farma aur sath hi ye dua ki aey ALLAH TA’ALA ise aur iski aulaad ko shaitan ke shar se mehfooz rakh yaani nek wa muteea bana.

Hazrat Maryam radiallaho ta’ala anha ke kafeel hazrat Zakariya alaihissalam

“To usey uske Rab ne achhi tarah qabool kiya usey achha parwaan chadhaya aur use Zakariya (alaihissalam) ki nigehbaani mein diya jab Zakariya (alaihissalam) uske paas uski namaz padhne ki jagah jaate uske paas naya rizq paate, kaha aey Maryam ye tere paas kahan se aaya? Boli wo ALLAH TA’ALA ki taraf se hai beshak ALLAH TA’ALA jise chaahe be ginti de”

Achhi tarah qabool karne ka ek matlab to ye hai ke hazrat Maryam aur unke bete Eisa alaihissalam ko ALLAH TA’ALA ne shaitan se mehfooz rakha aur dusri wajah ye hai ke hazrat Maryam ki

323 tAZKIRATUL AMBIYA Hazrate Zakariya wa eisa wa yahya

waalida ne apni nazar ko poora karne ke liye unhein ek kapde mein lapeta aur masjid mein Haroon alaihissalam ki aulaad mein se jo ulema aur qura maujood the unke hawale kar diya ye log baitul muqaddas ki khidmat guzaari mein rehte the choonki Maryam unke imaam ki beti thi isliye har ek chahta tha ke uski kafaalat ka haq mujhe mile, hazrat Zakariya alaihissalam ne kaha ke main haqdaar hoon kyun ke iski khaala meri zaujiyat mein hai lekin sab ne kaha ke nahin quraa (draw) daalte hain ye hazraat 27 ki taadad mein the sab ne apne apne qalam ek kapde ke niche rakhe aur ek nabaaligh bachhe ko kaha gaya ke kapde ke niche hath daal kar ek qalam nikaal lo usne jo qalam nikaala wo hazrat Zakariya alaihissalam ka tha phir sab kehne lage ke ek martaba aur quraa daalte hain ab sab nehar urdun ki taraf chale ke apne apne qalam nehar mein daalte hain jiska qalam ulta taira yaani paani ke aane ki taraf uska rukh hua wo kaamyaab ho gaya ye quraa bhi hazrat Zakariya alaihissalam ke haq mein nikla kyun ke aapka qalam hi ulta taira phir sab kehne lage ke ek martaba aur quraa daalte hain ab jiska qalam sidhe rukh ki taraf chala wo kaamyaab hoga teesri martaba bhi hazrat Zakariya alaihissalam ko hi kaamyaabi haasil ho gai aapka qalam hi paani ke bahaaw ke rukh ki taraf chala, quraa mein kaamyaabi par aap ne kafaalat ki zimmedari sanbhaal li.

“Aur usey achha parwaan chadhaya jawan hone tak”

Ek din mein aap itni badi ho jaati jitna dusre bachhe ek saal mein bade hote hain isi tarah aapko neki, paak daamni, seedhi raah par chalne aur ita’at mein bhi buland wa baala maqaam ata kiya ALLAH TA’ALA ne. Hazrat Suleman alaihissalam ki aulaad se hazrat Zakariya alaihissalam ko hazrat Maryam ka kafeel bana diya aur Maryam ki dekh bhaal har maslehat ke kaam ki zimmedari unke supurd kar di.

“Jab Zakariya uske paas namaz padhne ki jagah jaate” us waqt mehraab ka itlaaq masaajid par hota tha yahan muraad wo kamra hai jismein Maryam ko thehraya gaya tha uska darwaza deewar ke darmiyaan tha us kamre mein jaane ke liye seedi (stairs) ka istemaal kiya jaata tha, khayaal rahe ke aaj kal masaajid mein jo mehraab banaye jaate hain unki ibteda Nabi Kareem ﷺ ke zamane se nahin hui balki Umar bin Abdul Azeez ke zamane se shuru hui.

“Uske paas naya rizq paate” Hazrat Zakariya alaihissalam jab uske kamre se nikal kar aate to uske sath darwaze band karke taale (lock) laga kar aate koi aur shakhs wahan dakhil nahin ho sakta tha lekin aap jab bhi kamre mein aate to dekhte ke Maryam radiallaho ta’ala anha ke paas garmiyon ke phal (fruits) sardiyon mein aur sardiyon ke garmiyon mein maujood hote.

“Kaha aey Maryam ye tere paas kahan se aaya?” Ye sawaal hazrat Zakariya alaihissalam ka taajjub ki wajah se tha khayaal rahe ke hazrat Maryam ke paas be mausam phalon ka aana ye aapki karamat hai. Is aayat se waazeh hota hai ke auliya e kiraam ki karamaat barhaq hain kyun ke hazrat Maryam ko nubuwwat haasil nahin hui.

“Unhone kaha wo ALLAH TA’ALA ki taraf se hai” Hazrat Zakariya alaihissalam ke puchhne par hazrat Maryam ne ye jawab diya ke “jitna rizq hai jo kisi insaan ke waaste ke baghair mujhe ALLAH TA’ALA ki taraf se haasil hai” hazrat Maryam ka ye kalaam bachpan mein hai ke yaani is umar mein aam bachhe kalaam nahin karte ya ke kuchh badi umar mein ulema ke mukhtalif aqwaal hain. Allama Suyooti rahmatullahi alaih ke nazdeek

324 tAZKIRATUL AMBIYA Hazrate Zakariya wa eisa wa yahya

ye kalaam bachpan mein hai aap ne ek nazm mein zikr kiya hai ke 11 shakhson ne bachpan mein kalaam kiya hai:

  1. Nabi Kareem ﷺ

  2. Yahya alaihissalam

  3. Ibrahim alaihissalam

  4. Maryam radiallaho ta’ala anha

  5. Juraih se tohmat zaa’il karne waale ne bachpan mein kalaam kiya

  6. Yusuf alaihissalam se tohmat zaa’il karne waale ne bachpan mein kalaam kiya

  7. As’haabe akhdood mein ek bachhe ne maa’n ko kaha ke tum apne deen par qaa’im raho

  8. Ek aurat par tohmat laga rahe the to wo khamosh thi ek aurat ne usey dekh kar kaha mere bachhe ko ALLAH TA’ALA aisa na banana, bachhe ne kaha aey ALLAH TA’ALA mujhe aisa hi banana yaani ye aurat be gunaah hai

  9. Firaun ne jab ek aurat ko imaan laane par azaab diya to uske bachhe ne deen par qaa’im rehne ki talqeen ki

  10. Mubarak ne bachpan mein kalaam kiya.

“Beshak ALLAH TA’ALA rizq deta hai jise chaahe baghair hisaab ke”

Hazrat Maryam ne kaha ke apne bandon mein ALLAH TA’ALA jise pasand farmata hai unhein kisi insaan ke waseela ke baghair hi rizq ata farmata hai jo apni wus’at ke peshe nazar be hisaab hota hai.

Faayda: Hazrat Jaabir radiallaho ta’ala anhu se marwi hai Rasoolullah ﷺ ko chand (kuchh) din khane ke liye kuchh muyassar na hua yahan tak ke bhookh ke ghalbe ki wajah se aap par maamla shaaq hua (mushkil darpesh aai) to aap ne tamam azwaaj mutahheraat se puchha ke koi khane ki cheez hai tamam se jawab mila ke kuchh bhi nahin. Phir aap hazrat Fatima radiallaho ta’ala anha ke ghar tashreef laaye aur unhein kaha aey meri pyaari beti aapke paas koi khane ki cheez hai kyun ke mujhe bahut bhookh lagi hai unhone arz kiya qasam hai ALLAH TA’ALA ki kuchh bhi nahin.

Nabi Kareem ﷺ wahan se laute hi the ke ek padosi aurat ne hazrat Fatima radiallaho ta’ala anha ki khidmat mein do rotiyan aur kuchh gosht pesh kiya aap ne usey bartan mein rakha aur khayaal kiya ke apne aap par aur dusre apne ghar ke afraad par Nabi Kareem ﷺ ko hi tarjeeh deni chahiye halanki ghar ke sab afraad bhookh mein mubtala the. Aap ne hazrat Hasan aur hazrat Husain radiallaho ta’ala anhuma ko Rasoolullah ﷺ ki taraf bheja aap ﷺ tashreef laaye to hazrat Fatima radiallaho ta’ala anha ne arz kiya aap par main aur meri maa’n qurbaan! ALLAH TA’ALA ne khana ata farmaya hai jo maine aapke liye chhipa kar rakh liya hai aap ﷺ ne farmaya aey meri pyaari beti wo khane ka bartan le aao jab aap ne bartan se kapde waghaira ko hataya to wo rotiyon aur gosht se bhara hua tha, jab hazrat Fatima radiallaho ta’ala anha ne dekha to hairan hui phir samjha ke ye ALLAH TA’ALA ki taraf se khane mein barkat naazil hui to ALLAH TA’ALA ki hamd ki aur khana Nabi Kareem ﷺ ki khidmat mein pesh kiya jab aap ﷺ ne khana dekha to aap ne bhi ALLAH TA’ALA ki hamd ki aur puchha aey meri beti ye khana kahan se aaya hai to aap ne arz kiya aey mere abba jaan:

“Ye ALLAH TA’ALA ki taraf se hai beshak ALLAH TA’ALA rizq deta hai jise chaahe baghair hisaab ke”.

325 tAZKIRATUL AMBIYA Hazrate Zakariya wa eisa wa yahya

Nabi Kareem ﷺ ne phir hamd ki aur phir kaha:

“Sab tareefein ALLAH TA’ALA ki jisne tumhein bani israel ki ek sardaar aurat (Maryam) ki tarah banaya”.

Kyun ke unhein bhi ALLAH TA’ALA ne rizq ata farmaya to unse ye puchha gaya ke rizq tumhare paas kahan se aaya hai to unhone bhi yehi jawab diya tha ke ye ALLAH TA’ALA ki taraf se aaya hai “beshak jise chaahe rizq ata farmata hai baghair hisaab ke” phir aap ne Hazrat Hasan aur Hazrat Husain aur Hazrat Ali radiallaho ta’ala anhuma aur dusre ahle bayt ko jama kiya sab ne sair hokar khaya aur khana usi tarah maujood tha jaise pehle tha hazrat Fatima radiallaho ta’ala anha ne wo khana dusre padosi gharon mein bhi bheja.

Hadees paak se ye faayda haasil hua ke nemat ke haasil hone par “ALHAMDULILLAH” padha jaaye, ALLAH TA’ALA par tawakkul (bharosa) rakhne waale ko ALLAH TA’ALA apni nematon se nawaazta hai insaan ko chahiye ke wo apne aap par aur apni aulaad par walidain ko tarjeeh de apne padosiyon ko bhi khane waghaira ki ashiya bataur hadiya di jaayein isse muhabbat badhti hai us khane mein barkat naazil hona aur khane ka badh jaana Nabi Kareem ﷺ ka mojiza aur hazrat Fatima radiallaho ta’ala anha ki karamat hai.

Aulaad ke liye hazrat Zakariya alaihissalam ki dua

“Yahan pukara Zakariya ne apne Rab ko kaha ke aey mere Rab mujhe apne paas se nek aulaad ata farma beshak too hi hai sunne waala”

Iski chand wajooh hai:

  1. Aapne jab dekha ke ALLAH TA’ALA ne Maryam ko be mausam phal ata farmaye hain to aapke dil mein ye khayaal paida hua ke agarche meri umar budhape tak pahunch chuki hai aur meri zauja bhi baanjh hai lekin ALLAH TA’ALA apni qudrat kaamila se meharbani farma de to kuchh baa’id nahin to aap ne aulaad ki dua ki.

  2. Jab ALLAH TA’ALA ne ladkon ki jagah ladki ko qabool kar liya to us par bhi khayaal aaya ke budhe ko jawan aur baanjh ko ghair baanjh ka maqaam ata farma de to ye bhi uski rehmat ka hi ek hissa hoga.

  3. Baitul muqaddas ki khidmat ke liye bado ko qabool kiya jaata tha jab ek nanhi si bachhi ko qabool kar liya gaya to ye bhi is dua ke liye khayaal ka sabab bana ke Rab ta’ala jise chaahe qabool kar lein.

  4. Jab hazrat Maryam radiallaho ta’ala anha ko ALLAH TA’ALA ne kalaam karne ki taaqat ata farmai jab bachhe nahin bolte to aapko khayaal aaya ke be waqt aulaad ata karna bhi uski isi tarah meharbani ho sakti hai.

Khayaal rahe ke yahan ye maqsad nahin ke hazrat Zakariya alaihissalam ko Rab ta’ala ki qudrat mein pehle yaqeen nahin tha balki “jab aap ne ‘Vali’ ki karamaat ka mushaahida kiya to dil ki tawajjo is taraf waazeh taur par ho gai ke Nabi ka mojiza to isse badh kar hai in karamaat ke mushaahida par aulaad ki tama’a badh gai tawajjo zyada ho gai arz karne ka khayaal aa gaya”.

“Pakeeza aulaad” (زرية) ka maayne nasl, ye ek aur jama’at muzakkar aur muannas par bola jaata hai aapki dua ek muzakkar bachhe ke liye thi jiska zikr insha ALLAH TA’ALA aage aa raha hai زرية ke lafz ka aitebaar karte huye taiyaba lafz muannas laaya gaya dua muannas ke liye nahin balki muzakkar ke liye hai.

“Beshak too hi sunne waala hai”

326 tAZKIRATUL AMBIYA Hazrate Zakariya wa eisa wa yahya

Agarche zaahiri taur par yehi maayne hai lekin haqeeqat mein muraad ye hai ke too hi dua qabool karne waala hai aur kisi ko too ruswa nahin karta jis tarah namazi hazraat kehte hain “samiAllahu liman hamidah” iska haqeeqi matlab ye hai “mominon mein se jo bhi ALLAH TA’ALA ki hamd bayaan karta hai ALLAH TA’ALA uski hamd qabool karta hai” zaahiri maayne yahan bhi hamd ka sunna hai wo muraad nahin.

Hazrat Zakariya alaihissalam ka makhfi (poshida) dua karna

“Ye zikr hai tere Rab ta’ala ki us rehmat ka jo usne apne bande Zakariya par ki jab usne apne Rab ko aahista pukara arz ki aey mere Rab meri haddi kamzor ho gai sar safed ho gaya budhape ki wajah se aur aey mere Rab main tujhe pukaar kar kabhi namuraad na raha”

Hazrat Zakariya alaihissalam Suleman alaihissalam ki aulaad se the, badhai (carpenter) ka kaam karte the, aapke aaba wa ajdaad jo Nabi the wo baitul muqaddas mein “wahi” likha karte the, aapki koi aulaad na thi isliye Rab ta’ala se dua ki, aap ne dua raat ko yaani qabooliyat ke waqt mein ki, dua makhfi taur par ki taaki riyakaari se door rahe aur ismein kaamil khuloos paaya jaaye aur log ye bhi na kahein ke ye budhape ki umar mein aulaad ko maang raha hai aur ye bhi khayaal kiya tha ke is dua par mere mawaali muttala na ho’n, dua karte huye pehle apne ijz ka izhaar kiya aey mere ALLAH TA’ALA meri haddi kamzor ho gai.

Aala Hazrat Maulana Ahmad Raza ne العظم ka tarjuma “haddi” kiya hai aur dusre mutarjimeen ne “haddiya”, aap ke tarjuma par logon ne aitraaz bhi kiya hai jiska zikr main apni kitaab “taskeenul jinaan fi mahaasine kanzul imaan” mein kiya hai haqeeqat mein yehi tarjuma moatabar hai. Allama Aalusi rahmatullah alaihi farmate hain وھن (zuaf wa kamzori) ki nisbat العظم ki taraf ki kyun ke “Sulb” (reedh) ki haddi hi badan ka satoon aur jism ka satoon hai jab isey zuaf aur narmi pahuche to tamam haddiyon ko kamzori pahunchti hai aur unki quwwat zaa’il ho jaati hai.

Allama Zimkhashari aur muhaqqeqeen ne yehi pasand kiya hai ke mufrad maani jinsiyat par dalaalat kar raha hai muraad isse jins hai yaani wo jise badan mein satoon ki haisiyat haasil hoti hai aur wo badan ka qawwaam hai aur isse badan ko quwwat haasil hai ismein kamzori aane se tamam badan mein kamzori haasil hoti hai.

Mazkoora behas ke baad Aala Hazrat rahmatullah alaihi ke tarjuma ki fauqiyat waazeh ho gai.

Jab aap alaihissalam ne apni kamzori peerana saali, sar ke baalon ke safed hone ka zikr kar diya to arz kiya main tera wo banda hoon jise too ne arsa e daraaz se apne lutf wa karam ka khoogar bana diya hai, jab kabhi main ne koi sawaal kiya too ne radd na kiya, jo bhi maine maanga too ne ata kiya, tere karam ne humesha meri aarzuo ki laaz rakhi, teri inaayat ne aaj tak mujhe kabhi nashaad wa namuraad na kiya mujhe yaqeen hai ke hasbe saabiq is khoogar lutf wa inaayat ki ilteja bhi sharfe qabool se sarfaraz hogi.

Bachhe ki tamanna kyun?

“Aur mujhe apne baad apne qaraabat daaron ka darr hai aur meri aurat baanjh hai too mujhe apne paas se koi aisa de de jo mera kaam utha le aur wo mera janasheen ho aur aulaad Yaqoob ka waaris ho aur aey mere Rab usey pasandida kar”

327 tAZKIRATUL AMBIYA Hazrate Zakariya wa eisa wa yahya

ل ,jama hai maula ki iske kai maayne hain madadgaar, maalik, saahab, chachazaad, ghulaam مواٰ rishtedaar yahan muraad qaraabat daar rishtedaar hain. Aap alaihissalam ne arz kiya aey ALLAH TA’ALA deen mein fasaad phailayenge isliye too mujhe bachha ata farma jise mansabe nubuwwat par faa’iz kar de taaki wo umoore deen ki hifazat kar sake, usey mere ilm aur nubuwwat ka mera aur aulaade Yaqoob mein se Ambiya -e- kiraam alaihimussalam ka janasheen bana. Yahan wiraasat se muraad maal wa daulat nahin balki ilm aur nubuwwat hai kyun ke Nabi Kareem ﷺ ka irshad giraami hai “hum Ambiya -e- kiraam alaihimussalam ki jama’at ka koi waaris nahin banaya jaata hum jo maal bhi chhod kar jaayein wo sadqa hota hai” aur aap ne farmaya “ulema Ambiya -e- kiraam alaihimussalam ke waaris hote hain beshak Ambiya -e- kiraam alaihimussalam ka koi waaris daraahim wa dananeer ka nahin hota balki unke ilm ke waaris hote hain”.

Hazrat Zakariya alaihissalam ko bete ki bashaarat

“Firishton ne usey aawaz di aur wo apni namaz ki jagah khada namaz padh raha tha beshak ALLAH TA’ALA aapko muzda deta hai Yahya alaihissalam ka jo ALLAH TA’ALA ki taraf se ek kalima ki tasdeeq karega sardaar aur humesha ke liye auraton se bachne waala aur Nabi humare khaalis bandon mein se”

Malaika se muraad Jibreel alaihissalam hain yaani ye khushkhabari dene waale Jibreel alaihissalam hain zikr jama ka seegha hai muraad mufrid hai.

“Wo jin se logon ne kaha ke logon ne tumhare liye jattha joda hai to inse daro inka imaan aur zaa’id hua” mein pehle الناس (unnaas) se muraad Naim bin Mas’ood Ashjai aur dusre logon se muraad Abu Sufiyaan hai yaani zikr الناس (annaas) kiya gaya hai jiska maayne logon hai lekin muraad donon jagah ek ek shakhs hai (yahan waaqiya bayaan karna maqsood nahin) aapko bashaarat dene ke liye jab Jibreel alaihissalam aaye to aap apni namaz padhne ki jagah namaz padh rahe the.

Mehraab se muraad masjid ya imaame masjid ke khade hone ki jagah (aaj kal ki tarah us waqt ke mehraab na hote the) ya hazrat Maryam radiallaho ta’ala anha ka rehne waala uncha kamra. (Aala hazrat ka tarjuma in sabko shamil hai)

Aapko jis bete ki bashaarat di gai uske chand ausaaf bhi zikr kiye gaye ke wo ALLAH TA’ALA ki taraf se kalima ki tasdeeq karne waala hoga yahan kalima se muraad Eisa alaihissalam hai, hazrat Yahya alaihissalam Eisa alaihissalam se chhe(6) maah bade hain. Sabse pehle aap hi usey tasleem karne waale aur uski tasdeeq karne waale hain ke Eisa alaihissalam kalimatullah aur ruhullah hain, ek martaba hazrat Maryam ne hazrat Yahya alaihissalam ki waalida se mulaqaat ki jo unki khaala hain to unhone kaha ke kya tumhein maloom hai ke main haamila hoon to Maryam radiallaho ta’ala anha ne kaha “aur main bhi haamila hoon” to hazrat Zakariya alaihissalam ki zauja ne kaha “jo tumhare pet mein bachha hai maine usey apne pet waale bachhe ko sajda karte huye paaya” yaani mera bachha tumhare bachhe ko sajda karta hai ye waaqiya khwaab hai ya kashf ka is par dalaalat kar raha hai hazrat Yahya alaihissalam ne sabse pehle Hazrate Eisa alaihissalam ki tasdeeq ki.

Aapko ALLAH TA’ALA ne sardaar banaya, sayyed ke mukhtalif maani hain haleem yaani burdbaar momineen ka sardaar deeni umoor mein ra’is yaani ilm hilm ibadat taqwa mein usey sardaari haasil ho ALLAH TA’ALA ke yahan mukarram faqeeh aalim jis shakhs par ghazab ghaalib

328 tAZKIRATUL AMBIYA Hazrate Zakariya wa eisa wa yahya

na aa sake log jiski taraf apni haajat aur masaaib wa aalam mein ruju karein aur unki haajat ko poori kare, husne akhlaaq ka maalik, shareef, ALLAH TA’ALA ki qaza par razamandi ka izhaar karne waala, mutawakkil, azeemul himmat, wo kisi par hasad na kare, har bhalai ke kaam mein apne hum zamaan logon par fauqiyat rakhne waala.

Aur aapko ALLAH TA’ALA ne humesha auraton se bachne waala ek wasf ata farmaya, “حصورا” ka maayne hai ke apne nafs ko zyada se Rokne waala yaani zuhad wa taqwa ki wajah se aap ko auraton ki taraf raghbat hi nahin hoti thi us shari’at mein ALLAH TA’ALA ki taraf zyada raaghib rehna aur nikah na karna afzal tha, humare Nabi Kareem ﷺ ki shari’at mein nikah karna sunnat hai. Aur aapko ALLAH TA’ALA ne Nabi banaya khayaal rahe ke aapko Rab ta’ala ne siyaadat ata farmai ismein do cheezon ki taraf ishaara hai ke ye aapko makhlooq ki behtari maslehat aur taleeme deen ki qudrat ata farmai aur dusri makhlooq ko adab sikhane (amr bil ma’aroof wa nahi anil munkar) ki taaqat ata farmai aur aapko حصور banaya yaani aapko kaamil zuhad wa taqwa ata farmaya siyaadat aur zuhad aur taqwa ke ijtema ke baad nubuwwat ata farmai in donon cheezon ke baad aala maqaame nubuwwat ka hi hai.

Hazrat Yahya alaihissalam ka naam ALLAH TA’ALA ne khud rakha

“Aey Zakariya hum tujhe khushi sunate hain ek ladke ki jiska naam Yahya hai iske pehle hum ne is naam ka koi na kiya”

Har bachhe ka naam uske walidain rakhte hain aur wo bhi paidaish ke baad, hazrat Yahya alaihissalam ki paidaish se pehle aapka naam Rab ta’ala ne rakha aur wo bhi aisa naam ke aapse pehle ye naam kisi shakhs ka bhi nahin tha.

Khayaal rahe ke ْسیا ka ek maayne nazeer misl bhi hai yaani hum ne aapse pehle koi shakhs aapki misl nahin banaya aapko azeem tar zuhad wa taqwa haasil hua.

Aapka naam Yahya alaihissalam kyun rakha?

Haqeeqat to ALLAH TA’ALA hi jaanta hai aur baaz auqaat naam ya alqaab mein maakhaz ashqaaq ka koi khaas aitebaar nahin kiya jaata lekin mufassereen kiraam ne baaz wajooh bayaan ki hain asal maayne zinda karna hai isi munasebat se naam mein wajood mazkoor hain:

  1. Hazrat Ibne Abbas radiallaho ta’ala anhuma se marwi hai ke ALLAH TA’ALA ne unke zariye unki waalida ke baanjhpan ko zindagi ata farmai.

  2. Hazrat Qataada radiallaho ta’ala anhu se marwi hai beshak ALLAH TA’ALA ne aapke dil ko imaan wa ta’at ata karke zinda farmaya. ALLAH TA’ALA ne muteea ko zinda kaha hai aur aasi (nafarman) ko murda, Rab ta’ala ka irshad giraami hai “aur kya murda tha to humne usey zinda kiya” yaani kaafir ko imaan ata kiya aur aasi (nafarman) ko muteea (farmabardar) banaya.

  3. Aap ko ALLAH TA’ALA ne nafarmani ke iraada se door rakh kar ta’at ki zindagi se sarfaraz kiya kyun ke aapko ALLAH TA’ALA ne gunahon isyaan ke iraade se bhi door rakha.

  4. Aapko shahaadat ki zindagi ata farmai kyun ke shohda ALLAH TA’ALA ke yahan zinda hote hain Rab ta’ala ka irshad giraami hai “balki wo apne Rab ke yahan zinda hain”

  5. Hazrat Yahya alaihissalam ne sabse pehle Eisa alaihissalam ko kalimatullah aur ruhullah tasleem kiya to is imaan ki wajah se aap ke dil ko zindagi haasil hui.

329 tAZKIRATUL AMBIYA Hazrate Zakariya wa eisa wa yahya

  1. Deen ko aapke zariye zinda rakha hazrat Zakariya alaihissalam ne deen ke qeyaam ke liye hi to aapke liye dua ki thi.

Hazrat Zakariya alaihissalam ko bete ki bashaarat par taajjub hua

“Arz ki aey mere Rab mera ladka kahan se hoga? Mujhe to pahunch gaya budhapa aur meri aurat baanjh hai farmaya ALLAH TA’ALA yoon hi karta hai jo chaahe. Arz ki aey mere Rab mere liye koi nishani kar de farmaya teri nishani ye hai ke teen din too logon se baat na kare magar ishaara se aur apne Rab ko bahut yaad kar subah shaam uski pakeezgi bayaan kar”

Aapko jab bashaarat di gai us waqt aapki umar 120 saal aur aapki zauja ki umar 90 saal ki thi yehi qaul zyada moatabar hai agarche aur aqwaal bhi hain. Aap ne bete ke liye dua bhi ki thi ALLAH TA’ALA ki qudraton ka mushaahida kar chuke the Nabi ko Rab ta’ala ki qudrat mein kabhi koi shak nahin ho sakta phir is sawaal ka kya matlab ho sakta hai “aey mere Rab mera ladka kahan se hoga?” Is sawaal ka jawab Allama Aalusi rahmatullah alaihi in alfaaz mein dete hain “aapka ye sawaal ALLAH TA’ALA ki qudrat ko azeem samajhte huye aur us par bataur taajjub tha ye insaani fitrat ka taqaaza hai ke jab usey koi badi nishaani haasil ho to wo taajjub karte huye kehta hai aisa bhi ho jayega? Insaani soch se buland cheez ka husool yaqeenan motaajjib karta hai”.

Rab ta’ala ne jawab diya “yoon hi ALLAH TA’ALA jo chaahe karta hai”

ALLAH TA’ALA ki qudrat se ajeeb af’aal ka wuqoo pazeer hona aur aadat ke khilaaf ajeeb ajeeb kaam huye baa’id nahin budhape ke haal mein aulaad ata karna bhi uski qudrat se baahar nahin. Dusre maqaam par isi sawaal ka jawab in alfaaz se diya “farmaya aisa hi hai tere Rab ne farmaya mujhe aasaan hai aur maine to isse pehle tujhe us waqt banaya jab too kuchh na tha”.

Rab ta’ala jab kisi kaam ka iraada farmata hai to ک ُ ن kehta hai to wo kaam ho jaata hai balki sirf iraada karna bhi kisi kaam ke ma’arize wajood mein aane ke liye kaafi hai jo Rab ta’ala tumhein adem se wajood mein laaya wo tumhein aulaad bhi ata farma dega ismein taajjub karne hairan hone ki zarurat nahin aur ye sochne ki zarurat bhi nahin ke tumhein aulaad budhape ke haal mein hi ata karega ya tumhein jawan karke aulaad ata karega uski qudrat se koi baa’id nahin ke tumhein tumhare apne haal par rakhte huye saahibe aulaad kar de kyun ke wo tumhein neesati se hasti mein laaya aur jahan tumhari zaat maujood hui wahan tumhein sifaat bhi ata hui.

Nishani talab karne ki wajah

Aap ne arz kiya aey ALLAH TA’ALA mujhe koi aisi alaamat bata ke jinse mujhe nutfa ke qaraar pakad ne se hi pata chal jaaye taaki main teri is nemat ke shukr baja laane mein takheer na karu aur mujhe jald hi suroor bhi haasil ho jaaye ALLAH TA’ALA ne farmaya tum teen din tak kalaam na kar sakoge siwaye ishaara ke albatta ALLAH TA’ALA ka zikr aur tasbeehaat e namaz padh sakoge yaani zabaan sahi hoga lekin qudrati taur par logon se kalaam ki taaqat na hogi isliye Rab ta’ala ne farmaya:

“Teri nishani ye hai ke too teen din logon se kalaam na kare bhala changa ho kar”

Logon ke sath kalaam na karne ka zikr karke waazeh kar diya ke aapko ALLAH TA’ALA ke zikr karne ki taaqat rahegi, tum bilkul sahi hoge, zabaan mein koi nuqs, beemari na hogi, changhe

330 tAZKIRATUL AMBIYA Hazrate Zakariya wa eisa wa yahya

(theek) bhale hone ke bawajood qudrati taur par logon se kalaam nahin kar sakoge bas yehi tumhare liye nishani hai tum samajh lena ab nutfa qaraar pa chuka hai.

“To apni qaum par masjid se baahar aaya to unhein ishaara se kaha ke subah shaam tasbeeh karte raho”

Jab aapko logon se kalaam karne ki taaqat na rahi to aap ne unhein ishaara se kaha ke ALLAH TA’ALA ki subah wa shaam tasbeeh karte raho is kaifiyat se aapko pata chal gaya ke aapki beewi haamila ho chuki hai.

Yahya alaihissalam ka mansabe nubuwwat par faa’iz hona

“Aey Yahya kitaab mazboot thaam aur hum ne usey bachpan mein hi nubuwwat di”

ALLAH TA’ALA ne firishte ke zariye aapko ye hukm diya yahan jis kitaab ka hukm diya ja raha hai isse muraad tauraat hai kyun ke alag koi mustaqil kitaab nahin ata ki gai hukm diya gaya ke tauraat par logon ko amal karayein. Abu Nuaim Ibne Marduwiya aur Dailmi ne Hazrat Ibne Abbas radiallaho ta’ala anhuma se riwayat bayaan ki hai ke hazrat Yahya alaihissalam ko ALLAH TA’ALA ne saat (7) saal ki umar mein aqal wa feham waafir miqdaar mein ata farmaye aur ibadat guzaar banaya, ek aur marfoo riwayat mein zikr hai ke bachpan mein hazrat Yahya alaihissalam ko ladkon ne kaha humare sath khelne ke liye chalo to aap ne farmaya “kya humein khelne ke liye paida kiya gaya chalo hum namaz padhein”.

Yahan “al hukm” se muraad kya hai ismein mukhtalif aqwaal hain hikmat, aqal, maarfat, aadaab, khidmat, firaasat, saadiqa. Baaz ne kaha isse muraad nubuwwat hai yehi aksar ahle ilm ke qaul hain.

Yahya alaihissalam par Rab ta’ala ke inamaat

“Neez ata farmai dil ki narmi apni jaanib se aur nafs ki pakeezgi aur wo bade parhezgaar the aur khidmat guzaar the apne walidain ke aur wo jaabir aur sarkash na the aur salamati ho un par jis roz wo paida huye aur jis roz wo inteqaal karenge aur jis roz unhein uthaya jayega zinda karke”

Yaani ALLAH TA’ALA ne aapko bandon par meharbaan banaya aur unhein achha badla dene waala banaya jis tarah Nabi Kareem ﷺ ke mutalliq Rab ta’ala ne farmaya:

“ALLAH TA’ALA ki meharbani se aap inke liye narm dil huye”

Aur aapko nafs ki pakeezgi ata farmai lekin deeni ahkaam mein aap narmi nahin farmate jaise Nabi Kareem ﷺ ko hukm diya gaya:

“Aur tumhein in (zaani wa zaaniya) par taras na aaye ALLAH TA’ALA ke deen mein”

Ye maayne bhi mumkin hai ke hazrat Yahya alaihissalam ko logon par meharbaan banaya aur gunahon se door rakha na unhone koi gunaah kiya aur na hi kisi gunaah ka iraada kiya aur ye maayne bhi mumkin hai ke ALLAH TA’ALA ne aapko bachpan mein nubuwwat ata farmai ye ALLAH TA’ALA ki aap par rehmat thi aur mazeed aap ko nafs ki pakeezgi ata karke musharraf banaya.

“Aur wo khidmat guzaar the apne walidain ke”

Aur ALLAH TA’ALA ki tazeem ke baad walidain ki tazeem jaisi koi aur ibadat nahin, isiliye Rab

331 tAZKIRATUL AMBIYA Hazrate Zakariya wa eisa wa yahya

ta’ala ne irshad farmaya:

“Aap ke Rab ne hukm diya ke uske baghair kisi aur ki ibadat na karo aur walidain se ahsaan karo”

‘Aur wo jaabir aur sarkash na the’ yaani aap mein tawazo aur narm dili paai jaati thi aur yehi sabse aala wasf hai. Rab ta’ala ne huzoor ko khitaab karte huye farmaya:

“Agar aap tund mizaaj aur sakht dil hote to wo zarur tumhare gird se pareshan ho jaate”

Sabse aala ibadat ye hai ke insaan apne aap ko pehchane ke main ghatiya hoon aur zaate baari ko pehchan ne ki wo azeem zaat hai. Jis shakhs ne apne ko haqeer samjha aur Rab ko azeem aur ba kamaal samjha wo kabhi takabbur nahin kar sakta.

ALLAH TA’ALA ne Yahya alaihissalam ko paidaish ke din shaitan se mehfooz rakh kar salamati ata farmai aur maut ke din qabr ke azaab se bacha kar aapko salamati se sarfaraz kiya jayega.

Sufiyaan bin Oyena farmate hain ke makhlooq teen auqaat mein nihayat wehshat mein hoti hai yaani bahut hi ghabrahat mein mubtala hoti hai:

  1. Paidaish ke din jab shikame maadar se kharooj hota hai to insaan ko bahut pareshani laahiq hoti hai ke pata nahin ab mere liye naya maqaam kaisa hoga?

  2. Phir jab wo faut hota hai to aisi qaum ka mushaahida karta hai jo isse pehle usne kabhi nahin dekhi thi ye haalat bhi uske liye haibatnaak hoti hai.

  3. Phir jab usey qiyamat ko uthaya jayega to wo apne aapko azeem mehshar mein payega to isse bhi wo nihayat khaufzada hoga lekin hazrat Yahya alaihissalam ko in teenon mauqon mein salamati ka muzda suna diya gaya ke tumhein in maqamaat mein koi pareshani laahiq nahin hogi.

Faayda: ALLAH TA’ALA ne hazrat Yahya alaihissalam ki wilaadat ka tazkira farmaya aapke ausaaf zikr farmaye aap par salaam bheja bi fazlihi ta’ala ummate Mustafa ﷺ bhi aapke meelaad ko isi tarah bayaan karti hai jo Quran ke mutabiq hai. SubhanAllah mere Nabi Kareem ﷺ ka mojiza kaise saabit hai?

Aur Rab ta’ala ka irshad giraami:

“Aur beshak har aane waali gharhi (waqt) aapke liye pehli se behtar hai”

Kis aab wa taab se jagmaga raha hai ke jo log pehle miladunNabi ﷺ ke lafz se allergic the ab wo bhi zikre wilaadat conference karne lage, seerat seerat ki ratt lagane waale shayad tirmizi sjareef mein baabe miladunNabi ko nahin dekh sake the? Phir mazeed lutf ki baat ye hai ke jinhone: ي mein aapki rehmat ko sirf is jahan ke liye khaas kar diya tha wo bhi وما ارسلناك آل رَحة للعلمْ rehmatullil aalmeen conference karke aapko sab jahaanon ke liye rehmat maanne lage, masha Allah ahle sunnat wa jama’at ke aqeeda ke mutabiq un logon ka kaam karna is baat par qawi daleel hai ke maslake ahle sunnat hi haq hai.

Hazrat Yahya alaihissalam ki shahaadat

Jab hazrat Yahya alaihissalam ko nubuwwat par faa’iz kiya gaya to unhein kitaab par poori tundehi se amal karne ki talqeen ki gai. Aap ki zindagi batati hai ke aap ne hukme khudawandi ki taleem ka haq ada kar diya mulk ke goshe goshe mein jakar door uftaada sehraao aur dushwaar guzaar pahadon mein ja jakar logon ko paighame haq sunaya aur unhein gunahon se taaib hone ki targheeb di. Be shumar log aap ki tableegh ki barkat se raahe haq par aa gaye, fisq wa fujoor ki

332 tAZKIRATUL AMBIYA Hazrate Zakariya wa eisa wa yahya

zindagi ko tark karke unhone zuhad wa taqwa ko apna shi’aar banaya, qaum ke har tabqe ko aap ne unki kotahiyon aur khaamiyon par mutnabbeh kiya.

Ulema e bani israel jo dunya ki muhabbat mein is qadr waarafta ho gaye the ke ahkaame ilaahi ki tehreef mein koi jhijhak mehsoos nahin karte the unhein badi sakhti se jhinjhoda aur bade sakht lehaje mein unhein farmaya:

“Aey saanp ke bachho! Tum ko kisne bata diya ke aane waale ghazab se bhaago, pas tauba ke muwaafiq hal laao aur apne dilon mein ye kehne ka khayaal na karo ke Abrahaam humara baap hai kyun ke main tum se kehta hoon ke khuda in pattharon se Abrahaam ke liye aulaad paida kar sakta hai aur ab darakhton ki jad par kulhaada rakha hua hai pas jo darakht achha phal nahin laata to wo kaata aur aag mein daala jaata hai”

Aapki daawat ka halqa sirf awaam tak mehdood na tha balki shaahi darbaar bhi aapke naara e haq se larza bar andaam tha badshah e waqt “Heerodees” ne apne bhai “Filip” ki mankooha beewi ko apne ghar mein daal rakha tha aap ne usko barmala jakar kaha apne bhai ki beewi ko rakhna tujhko jaaiz nahin.

Injeel marqas ki chand aayaat mulaaheza farmayein:

“Pas Heerodees isse dushmani rakhti thi aur chahti thi ke ise qatl karaye magar na ho saka kyun ke Heerodees Yohaana ko raast baaz aur muqaddas aadmi jaan kar usse darta aur usey bachaye rakhta tha aur uski baatein sun kar bahut hairan ho jaata tha magar sunta khushi se tha aur ek din jab Heerodees ne apne saalgirah (birthday) mein apne ameeron aur fauji sardaron aur galeel ke raaison ki ziyaafat ki aur isi Heerodees ki beti ander aai aur naach kar Heerodees aur uske mehmanon ko khush kiya to badshah ne us ladki se kaha jo chaahe mujhse maang main tujhe dunga aur usse qasam khai jo too mujh se mangegi apni aadhi saltanat tak tujhe dunga aur usne baahar jakar apni maa’n se kaha ke main kya mangu usne kaha yohana bipatisma dene waale ka sar. Wo fauran badshah ke paas jaldi se ander aai aur usse arz ki main chahti hoon ke too yohana bipatisma dene waale ka sar ek thaal mein abhi mujhe mangwa de badshah bahut ghamgeen hua aur apni qasamon aur mehmanon ke sabab se inkaar na karna chaaha pas badshah ne fauran ek sipaahi ko hukm dekar bheja ke uska sar laaye usne jakar qaid khane mein uska sar kaata aur ek thaal mein lakar ladki ko diya aur ladki ne apni maa’n ko diya”

Is tarah hazrat Yahya alaihissalam ne apna sar kata kar apne Rab ta’ala ke farman ki tameel ka haq ada kiya.

Hazrat Zakariya alaihissalam ko bhi shaheed kiya gaya

Jab hazrat Yahya alaihissalam ko shaheed kar diya gaya to hazrat Zakariya alaihissalam ne badshah ke zulm wa sitam se bachne ke liye shehar se baahar jaane ka rukh kiya. Badshah ne usi faahesha aurat ke kehne par aapko pakadne ke liye bhi apne sipahiyon ko bheja aap ne apni jaan bachane ke liye darakht ke tane mein chhupa liya jo ander se khaali tha.

‘Aapko darakht ke ander khaali tane mein jab paaya gaya to un logon ne darakht ko upar se niche aare se kaat diya’

Yaani is tarah aapke jism ke do tukde karke aapko shaheed kar diya. Khayaal rahe ke jaan ki hifazat ka waada sirf Nabi Kareem ﷺ se Rab ta’ala ne farmaya:

“Aur ALLAH TA’ALA aap ko logon se bachaye rakhega”

333 tAZKIRATUL AMBIYA Hazrate Zakariya wa eisa wa yahya

Aur dusre rasoolon se jo nusrat ka waada farmaya isse muraad ye hai ke tum itne bade logon ki mukhalifat ke bawajood mere ahkaam un tak pahuncha sakoge tumhare dalaail ka wo koi jawab nahin de sakenge aur tumhare badle mein unke kai aadmiyon ko qatl karwa dunga jab dusre Ambiya -e- kiraam alaihimussalam ko logon se bachaye rakhne ka waada na farmaya to in do aayaton mein koi ta’arruz nahin.

“Wo bani israel Ambiya -e- kiraam alaihimussalam ko naahaq qatl karte”

Yaani wo khud bhi samajhte ke hum zulm kar rahe hain humein qatl karne ka koi haq nahin pahunchta.

“Beshak hum apne rasoolon ki imdaad karte hain”

Yaani dalaail wa hujjat aur zaahiri ghalba mein.

Hazrat Maryam radiallaho ta’ala anha ki fazeelat

“Aur jab firishton ne kaha aey Maryam beshak ALLAH TA’ALA ne tujhe chun liya aur khub suthara kiya aur aaj saare jahaan ki auraton se tujhe pasand kiya aey Maryam! Apne Rab ke huzoor adab se khadi ho aur uske liye sajda kar aur ruku waalon ke sath ruku kar”

Aayate kareema mein malaika ka zikr hai lekin muraad sirf Jibreel alaihissalam hain kyun ke surah Maryam mein aap se kalaam karna Jibreel alaihissalam ka hi saabit hai. Ye jama ke seegha se mufrad waala maayne lena agarche zaahir se adool hai magar is maayne ki taraf pherna zaruri hai.

Hazrat Maryam radiallaho ta’ala anha ke teen wasf bayaan kiye gaye hain chun lena, paak suthara karna aur jahaan ki auraton par pasand karna.

Pehli sifat ka matlab ye hai ke aap se pehle kisi muannas (ladki) ko baitul muqaddas ki khidmat ke liye ijazat nahin di gai thi sirf aap ko hi is maqsad ke liye chun liya gaya tha. Aap ki waalida ne aapko dudh nahin pilaya tha balki paida hote hi baitul muqaddas mein hazrat Zakariya alaihissalam ke supurd kar diya gaya tha ALLAH TA’ALA ne Maryam radiallaho ta’ala anha ko jannat ke khane ata karke khusoosiyat ata ki, ALLAH TA’ALA ne aapko apni ibadat ke liye chun liya aur isi wajah se aap par mukhtalif qism ki meharbaniya ki aur hidayat se nawaza aur aapki hifazat ka zimma khud uthaya, aap ki maaishat ka maamla baghair zaahiri asbaab ke apne qabza e qudrat mein liya aapko humesha rizq ALLAH TA’ALA ki taraf se haasil raha, kasbe maaishat ki zarurat na rahi, firishte ka kalaam aap ko ALLAH TA’ALA ne ba raahe raast sunne ki taufeeq ata farmai jo kisi dusri aurat ko meyassar na hui.

Dusri sifat yaani aapko paak suthara banaya iske bhi chand wajooh hain kufr wa maseeyat se aapko paak rakha aur aapko mardon ke chhune (touch karna) se paak rakha aur aapko haiz se paak rakha kyun ke bayaan kiya jaata hai ke aapko haiz nahin aata tha aur aapko bure af’aal aur buri aadat se paak rakha aur aapko yahoodiyon ki tohmat jhoot aur unki chemigoiyon se bari farmaya.

Behtar ye hai ke maayne aam hi muraad liya jaaye yaani aapko hissi aur maanwi aur jismani tamam uyoob se paak banaya.

Teesri sifat aaj saare jahaan ki auraton par tujhe pasand kiya, is mas’ale mein ahle ilm ke mukhtalif aqwaal hain ke hazrat Maryam radiallaho ta’ala anha jahaan ki tamam auraton ki sardaar hain ya

334 tAZKIRATUL AMBIYA Hazrate Zakariya wa eisa wa yahya

ke aapko hazrat Khadeeja, Hazrate Aaisha aur hazrat Fatima radiallaho ta’ala anhuna par fazeelat haasil nahin.

Aala Hazrat Maulana Ahmad Raza Bareilvy ne lafz اج badha kar apna mukhtaar qaul bayaan kar diya ke hazrat Maryam radiallaho ta’ala anha ko apne zamane mein tamam auraton par afzaliyat haasil thi har zamana mein har aurat par fazeelat haasil nahin yehi qaul isi aayat ke tehat mehshai jalaalain ka bhi hai wo farmate hain ke aapko baghair baap ke Eisa alaihissalam ka ata hona agarche aapki khusoosiyat hai lekin isse ye laazim nahin aata ke is fazeelat ki wajah unko mutlaqan fazeelat Hazrate Aaisha aur hazrat Fatima radiallaho ta’ala anhuna par haasil ho jaaye agarche ye fazeelat in donon ko haasil nahin.

Lekin in donon ke fazaail kaseer hain jo ahadees mein mazkoor hain wo fazaail hazrat Maryam radiallaho ta’ala anha ko haasil nahin isliye Fatima aur Aaysha radiallaho ta’ala anhuna ko tamam jahaan ki ibteda e aafreenash se lekar qiyamat tak aane waali tamam auraton par fazeelat haasil hai yehi muhaqqeqeen ulema e kiraam ka mazhab hai.

Hazrat Maryam radiallaho ta’ala anha ko namaz ada karne ka hukm diya taaki aapko ALLAH TA’ALA ka qurb haasil ho aur maraatib ki bulandi haasil ho, sajda ka hukm ruku se pehle diya isliye ke “wao” tarteeb ke liye nahin aati yaani zikr karne se ye laazim nahin aata ke sajda ada bhi pehle kiya jaaye albatta pehle zikr karne ki wajah ye ho sakti hai ke namaz ke tamam arkaan mein se sajda afzal hai iski fazeelat ke peshe nazar zikr pehle kar diya gaya ho, ruku karne waalon ke sath ruku karne ka hukm dekar ye kaha gaya hai ke namaz jama’at se ada karo aur is mas’ale ki taraf bhi ishaara kar diya gaya hai ke jis shakhs ne imaam ke sath ruku mein namaz ko pa liya usey wo rak’at mil gai.

Aitraaz: Hazrat Maryam radiallaho ta’ala anha ko jama’at ke sath namaz padhne ka hukm kaise diya gaya halanki wo ek jawan ladki thi?

Jawab: Ye bhi mumkin hai ke aap apne hujre mein namaz ada karti ho’n ye bhi mumkin hai ke aap ba parda hokar mardon ki saff (line) se alag khadi hokar namaz ada karti ho’n aur ye bhi ho sakta hai ke baitul muqaddas ke tamam khuddaam aapke aqraba ho’n yehi wajah thi ke aapki kafaalat ka har shakhs taqaaza kar raha tha ye bhi ahtemaal hai ke namaz ke waqt auratein bhi haazir hoti ho’n to aap unke sath khadi hokar namaz ada karti ho’n.

Hazrat Maryam radiallaho ta’ala anha ke paas Jibreel alaihissalam ka aana

“Bayaan kijiye kitaab mein Maryam (ka haal) jab wo alag ho gai apne ghar waalon se ek makaan mein jo mashriq ki jaanib tha pas bana liya usne logon ki taraf se ek parda phir humne bheja uski taraf apne Jibreel ko pas wo zaahir hua uske saamne ek tandurust insaan ki soorat mein”

Hazrat Maryam radiallaho ta’ala anha ne tamam se alag hokar baitul muqaddas ki sharqi jaanib ko ikhtiyar kiya taaki ibadat ke liye aapko khalwat haasil ho sake, Isi wajah se aap ne alahida parda ko bhi ikhtiyar kiya ke koi aapki ibadat mein khalal andaaz na ho sake mashriqi jaanib ko ikhtiyar karna ho sakta hai sirf ittefaaqan aisa hua ho koi khaas iraada na ho aur ye bhi ho sakta hai ke ALLAH TA’ALA ne aapke dil mein ilqa kiya ho ke mashriqi jaanib ko ikhtiyar karo kyun ke ‘ALLAH TA’ALA ne apne ilme azli abadi ki wajah se munasib yehi samjha ke ye noore iswi ke

335 tAZKIRATUL AMBIYA Hazrate Zakariya wa eisa wa yahya

zahoor ka waqt hai isliye munasib yehi hai ke noore maanwi ka zahoor noore hissi ke zahoor ke bilkul saamne ho.

Jin hazraat ka qaul ye hai ke hazrat Maryam radiallaho ta’ala anha haiz se paak thi yaani unko haiz nahin aata tha unke nazdeek aayate kareema ka maqsad yehi hai jo bayaan kiya ja chuka hai, kuchh hazraat ka qaul ye hai ke aapko haiz aata tha aap masjid ki khidmat ke liye waqf thi masjid mein rehti thi lekin haiz ke dinon mein apni khaala ke ghar (jo hazrat Zakariya alaihissalam ki zauja thi) aa jaati thi aur jab haiz se paak ho jaati thi to masjid mein laut aati thi aap ko haiz ke baad ghusl khana mein jaate huye ek shakhs nazar aaya jo bada wajeeh tha chamakdaar khubsoorat uska rang tha aur uske ghunghriyale baal the ye Jibreel alaihissalam the, Rab ta’ala ne farmaya-

“Humne uski taraf ruhul ameen ko bheja”

Choonki Jibreel alaihissalam Ambiya -e- kiraam alaihimussalam ke paas “wahi” laate rahe jo deen ke ihya ka sabab banti rahi isliye aapko bhi ruh keh diya gaya aap bhi ba zariye “wahi” ihya e deen ka zariya bane Jibreel alaihissalam aapke paas kaamil insaani shakl mein the yaani insaani ausaaf se koi bhi aap mein kami nazar nahin aati thi balki kaamil insaan nazar aate the. Khayaal rahe ke Jibreel alaihissalam kaamil bashar nazar aane ke bawajood bhi noor the Jibreel alaihissalam haqeeqat mein noor aur zaahir mein bashar the Nabi Kareem ﷺ haqeeqat mein noor aur zaahir mein bashar ho’n to ismein kaun si mushkil darpesh hai baat sirf imaan ki hai.

Hazrat Maryam radiallaho ta’ala anha ka khauf

“Boli main tujh se rehmaan ki panaah mangti hoon agar tujhe darr hai”

Ek ajnabi insaan ko dekh kar aap par khauf taari ho gaya ke maloom nahin ke ye insaan mere paas kahan se kis iraade se aa gaya? Fauran kaha khuda ki panaah agar too muttaqi shakhs hai Rab ka tujhe koi khauf hai to door ho mere parde mein khalal andaaz na ban.

Jibreel alaihissalam ka tasalli dena

“Bola main tere Rab ka bheja hua hoon ke main tujhe ek suthara beta du”

Jibreel alaihissalam ka ye kehna ke “main tumhare Rab ka bheja hua hoon” iska matlab ye tha ke hazrat Maryam radiallaho ta’ala anha ka khauf zaa’il ho jaaye yaani mujhe ALLAH TA’ALA ne tumhare umoor ka maalik bana kar aur tumhari maslehat ka naazir bana kar bheja hai jo tum ne mujh par shar ka weham kiya hai wo mujh se kabhi tawaqqo nahin ki ja sakti.

Hazrat Ibne Abbas radiallaho ta’ala anhuma se marwi hai ke jab hazrat Maryam radiallaho ta’ala anha ne Rab ki panaah talab ki to Jibreel alaihissalam ne muskura kar kaha main tumhari qamees mein phoonk maar kar tumhein pakeeza aur suthara beta dene ke liye aaya hoon yaani aisa beta ata karne ke liye jo gunahon ki aaloodgi se paak wa saaf hoga uske nek aamaal mein roz baroz izaafa hota rahega aur maqaam nubuwwat par faa’iz hoga.

Faayda: Haqeeqat mein farzand ata farmane waala ALLAH TA’ALA hai lekin Jibreel alaihissalam choonki is ata ka sabab aur zariya hain isliye bataur majaaz farzand dene ki nisbat apni taraf kar di isse maloom hua ke ALLAH TA’ALA ki nematon mein se agar kisi nemat ke milne ko uske zariye aur waasta ki taraf mansoob kiya jaaye basharte ke ye yaqeen ho ke mun’eme haqeeqi ALLAH TA’ALA hai to aisi nisbat durust hai isse insaan mushrik nahin ho jaata jis tarah aaj kal baaz mutashaddid khayaal karte hain.

336 tAZKIRATUL AMBIYA Hazrate Zakariya wa eisa wa yahya

Hazrat Maryam radiallaho ta’ala anha ki hairat aur badh gai

“Boli mera ladka kaisa hoga mujhe to kisi aadmi ne hath nahin lagaya aur na hi main badkaar hoon”

Aap ko ye sun kar itna zyada taajjub hua aur aap ne ise aqal se ba’id samajhte huye ye kaha mera beta kaise hoga? Aapko hairangi ki wajah se iski taraf tawajjo hi nahin rahi ke mujhe ek firishta keh raha hai ke main tumhein ek suthara beta dene ke liye aaya hoon.

Aap ne yehi samjha ke beta to aam aadat ke mutabiq hi paida ho sakta hai ya to jaaiz nikah se ya badkaari se neez aap ibadat mein masroof hone ki wajah se is taraf tawajjo hi na kar saki ke Rab ki qudrat se to kuchh baa’id nahin.

Leave a Comment