Hazrat Saaleh alaihissalam

Hazrat Saaleh alaihissalam
Hazrat Saaleh alaihissalam qaume samood ki taraf aaye aap alaihissalam bhi samood qaum se hi
hain, “samood” ek shakhs ka naam tha uski aulaad qaume samood kehlai. Samood ka nasab Nooh
alaihissalam se milta hai yaani samood bin aabir bin iram bin saam bin Nooh aur hazrat Saaleh
alaihissalam ka nasab is tarah bayan kiya gaya hai saaleh bin ubaid bin maasikh bin abd bin jaawar
bin samood aur samood ka nasab is tarah bhi bayan kiya gaya hai samood bin ubaid bin aaus bin
aad bin iram bin saam bin Nooh yehi zyada sahih hai.
Hazrat Saaleh alaihissalam aur hazrat Hood alaihissalam ke darmiyaan 100 saal ka faasla hai yaani
Saaleh alaihissalam hazrat Hood alaihissalam ke 100 saal baad tashreef laaye, hazrat Saaleh
alaihissalam ki umr 280 saal thi.
Hazrat Saaleh alaihissalam ne qaum ko farmaya
“Aur samood ki taraf unke ‘hum qaum’ Saaleh ko bheja kaha aey qaum Allah ki
ibadat karo uske siwa tumhara koi mabood nahin usne tumhein zameen se paida
kiya aur usne tumhein basaya to usse maafi chaho phir uski taraf rujoo lao beshak
mera Rab qareeb hai dua sunne wala”.
“Jab ke unke ‘hum qaum’ Saaleh ne farmaya kya darte nahin beshak main tumhare
liye Allah ka amaanat daar Rasool hoon to Allah se daro aur mera hukm maano aur
main tum se kuchh is par ujrat nahin maangta mera ajr to usi par hai jo saare jahan
ka Rab hai”.
Ambiya -e- kiraam ki aadate shareefa ye thi ke jab nubuwat ka daawa farmate to sabse pehle qaum
ko butt parasti ke chhodne ke mutalliq irshad farmate aur ALLAH TA’ALA ki ibadat karne ka
hukm dete ke uske baghair koi mabood nahin phir apni risalat ka daawa karte taaki qaum unse
mojizaat ka mutaalba kare to unko mojizaat dikhaye jayein phir unke inkaar aur baaz na aane par
ALLAH TA’ALA ke azaab se unko darate phir bhi jab wo apne kufr par qaa’im rehte to ALLAH
TA’ALA ki taraf se un par azaab aa jaata.
Aur aap (Saaleh) alaihissalam ne apni qaum ko kaha ke agar tum chahte ho ke ALLAH TA’ALA
ki rehmat tumhein haasil ho to ALLAH TA’ALA se apne gunahon ki maafi maango usi ki taraf
rujoo karo to ALLAH TA’ALA ki rehmat tumhein haasil hogi ALLAH TA’ALA ki rehmat imaan
walon ke qareeb hai.
Aapne qaum ko kaha dunya mein tum ko humesha nahin
rehna
“Kya tum yahan ki nematon mein chain se chhod diye jaoge baaghon aur chashmon
aur kheton aur khajooron mein jinka shagoofa narm nazuk hota hai aur pahadon
mein ghar tarashte ho ustaadi se to Allah se daro aur mera hukm maano aur had se
badhne walon ke kehne par na chalo wo jo zameen mein fasaad phailate hain aur
islaah ka kaam nahin karte”.
Hazrat Saaleh alaihissalam ne apni qaum ko kaha tumhara khayaal baatil hai ke tum yahan dunya
mein hi aaram se nematon mein rahoge, jis Rab ne apni qudrat kaamila se tumhein baghaat,
tAZKIRATUL AMBIYA Hazrate saaleh
178
chashme, khetiyan aur narm wa nazuk shagoofon wale khajoor ke darakht de rakhe hain wo ye bhi
le sakta hai. Tumhein dunyavi nematon par naaz nahin karna chahiye aakhir dunya ko chhod kar
bhi jaana hai tum badi mahaarat se pahadon ko taraash kar ghar banate ho is wajah se bhi tum
seedha yehi samajhte ho ke tum ko dunya mein humesha rehna hai lekin tumhari ye soch sarasar
ghalat hai had se tajaawuz karne wale, fasaad phailane wale koi durust achha seedha bhalai wala
kaam nahin karne walon ki tum pairwi kar rahe ho tum unki ita’at na karo to kamyaab hoge warna
tabaahi ka shikar ho jaoge kamyaabi sirf ALLAH TA’ALA ki taraf rujoo karne aur mera hukm
maanne mein hai.
Aapki tableegh se do fareeq ban gaye
“Aur beshak hum ne samood ki taraf unke ‘hum qaum’ Saaleh ko bheja ke Allah ki
ibadat karo to jabhi wo do giroh ho gaye jhagda karte Saaleh (alaihissalam) ne
farmaya aey meri qaum kyun burai ki jaldi karte ho bhalai se pehle Allah ki
bakhshish kyun nahin maangte shayad tum par reham ho”.
Hazrat Saaleh alaihissalam ki tableegh par kuchh log imaan le aaye aur dusre log apne kufr par
qaa’im rahe is tarah do giroh ban gaye aapas mein ek dusre se behason mein uljhe rehte the lekin
imaan walon ki taraf se jhagda deen ke haq hone mein hota ye jidaal haq hai. Saaleh alaihissalam
ki tableegh par qaum ke inkaar aur aapke azaab se darane par qaum ka ye kehna “Aur bole aey
Saaleh hum par le aao jis ka tum waada de rahe ho” iske jawab mein Saaleh alaihissalam ne kaha
aey meri qaum tum achhai ke badle mein jaldi kyun karte ho yaani ye dunyavi nematon ka aaram
tumhein haasil hain lekin iske badle tum azaab aur apni tabaahi wa barbaadi talab kar rahe ho ye
kahan ki aqal hai tumhein ALLAH TA’ALA se apne gunahon ki maafi talab karni chahiye taaki
wo tum par reham kare.
Qaum ne aapko kya jawab diya?
Saaleh alaihissalam ne qaum ko raahe raast par laane ki koshish ki lekin qaum ne aapki takzeeb
(jhutlaaya) ki aur mukhtalif jawab diye.
“Beshak hijr walon ne Rasoolon ko jhutlaaya”
“Hijr” ek waadi hai madeena aur shaam ke darmiyaan jismein samood ki qaum ke log rehte the
unhone apne paighamber Saaleh alaihissalam ki takzeeb ki choonki ek Nabi ki takzeeb tamam
Ambiya -e- kiraam ki takzeeb hai isliye ke tamam Ambiya -e- kiraam ALLAH TA’ALA ki
wehdaniyat par imaan laane aur usi ki ibadat karne ki daawat dete hain aur har Nabi dusre tamam
Ambiya -e- kiraam par imaan laane ki daawat deta hai isliye ek Nabi ki takzeeb se dusre tamam
Ambiya -e- kiraam ki takzeeb laazim aati hai yehi wajah hai ke Rab ne farmaya “Hijr walon ne
Rasoolon ki takzeeb ki” halanki ba zaahir ek Nabi yaani hazrat Saaleh alaihissalam ki wo takzeeb
kar rahe the.
Kabhi qaum ne kaha “Aey Saaleh (alaihissalam) isse pehle to tum hum mein honhaar maloom hote
the kya tum humein apne baap dada ke maboodon ki pooja karne se mana karte ho? Beshak jis
baat ki taraf tum humein bulate ho hum us par ek bahut bade dhoke mein daalne shak mein hain”.
Qaum kehne lagi hum ne to tumhein bada aqalmand bahut bada samajhdaar samjha hua tha
humein to tum par badi ummeedein thi ke tum humare deen ki imdaad karoge, humare mazhab
tAZKIRATUL AMBIYA Hazrate saaleh
179
ki taqwiyat ka sabab banoge, humare tareeqa ki taa’id karoge.
Yaani kisi qaum mein jab bhi koi shakhs ilm wa fazl mein aala maqaam haasil karta hai to qaum
usse apne maqsad ke mutabiq ummeedein waabasta kar leti hai aapki qaum ne bhi yehi samjha tha
ke humare baatil deen ki imdaad karenge.
Isi tarah aap ghareebon faqeeron par bade meharban the, za’if logon ki imdaad karte the, mareezon
ki ayaadat karte the to qaum ne kaha ke hum ne to aapke in ausaaf ko dekh kar ye samjha tha ke
tum humare ahbaab mein se hoge, humari imdaad karoge tum ne ye adaawat (dushmani) aur
bughz humare sath kaise shuru kar liya? Humein to tum par bada taajjub hai ke tum humein apne
baap dada ke maboodon ki pooja se rok rahe ho humein to ab tum par shak hone laga hai ke tum
humein kisi bahut bade dhoke mein mubtala karna chahte ho.
Aapne qaum ko jawab diya
“Aapne kaha aey meri qaum bhala batao to agar main apne Rab ki taraf se raushan
daleel par hoon aur usne mujhe apne paas se rehmat bakhshi to mujhe usse kaun
bachayega agar main uski nafarmani karu? To tum mujhe siwaye nuqsaan ke kuchh
na badhaoge”.
Aapke irshad ka matlab ye tha ke mujhe ALLAH TA’ALA ne raushan dalaail ata farmaye hain aur
usne mujhe apni rehmat se nawaza hai isiliye main bhi tum par meharbani kar raha hoon ke
tumhein us raah ki hidayat de raha hoon jismein tumhari kamyaabi hai tum apni be aqli ki wajah
se jis baatil raah ki meri muawanat chahte ho usmein to ALLAH TA’ALA ki nafarmani hai aur
ALLAH TA’ALA ki nafarmani khasaara hai.
Mazeed qaum ne ye kaha “Unhone kaha hum ne bura shagoon kiya tum se aur tumhare sathiyon
se”.
Hazrat Saaleh alaihissalam jab mab’oos huye aur qaum ne takzeeb ki iske baa’is baarish ruk gai,
qehat ho gaya, log bhookhe marne lage isko unhone hazrat Saaleh alaihissalam ki tashreef aawari
ki taraf nisbat kiya aur aapki aamad ko bad-shagooni samjha aap ne qaum ko jawab diya “Aapne
kaha tumhari bad-shagooni Allah ke paas hai balki tum log fitne mein pade ho”.
Hazrat Ibne Abbas radiallaho ta’ala anhuma farmate hain ke Saaleh alaihissalam ke irshad ka
matlab ye tha ke bad-shagooni jo tumhare paas aai ye tumhare kufr ki wajah se ALLAH TA’ALA
ki taraf se aai hai tum fitne mein mubtala ho tumhara apne baatil deen ko sahi samajhna butt
parasti par qaa’im rehna ye darhaqeeqat tumhare liye fitna hai.
Qaum ne aapko jadoogar kaha
“Unhone kaha tum par to jadoo hua hai”
Yaani tum par baar baar kasrat se jadoo kiya gaya hai isiliye tumhari aqal salamat nahin rahi tum
humare sath bewakoofi ki baatein kar rahe ho ke hum apne aaba wa ajdaad ka deen chhod dein.
Qaum ne aapko mutakabbir kaha
“Unhone kaha hum apne mein se ek aadmi ki taabedaari karein jab to hum zarur
gumrah aur deewane hain kya hum sab mein se is par zikr utaara gaya? Balki ye
sakht jhoota itraane wala (mutakabbir) hai”.
Qaum ne kaha hum itni tadad mein hokar ek aadmi ki taabedaari karein wo bhi aisa shakhs ho jo
tAZKIRATUL AMBIYA Hazrate saaleh
180
humare jaisa bashar ho aisa kaam to deewanon ka hai hum to aqalmand hain kya isi ko nubuwat
ata honi thi aur is mansab ke laayaq koi nahin tha? Ye shakhs (maaz’Allah) apne daawa e nubuwat
mein jhoota hai aur ye daawa karke shokhiyan maar raha hai itra raha hai ye to bada mutakabbir
hai, Rab ta’ala ne unko radd karte huye farmaya “Bahut jald kal jaan jayenge kaun tha bada jhoota
itraane wala?” yaani ye qaum jab dunya aur aakhirat mein azaab mein mubtala hogi to phir unhein
pata chalega ke kaun jhoota aur baatil raah par zid wa anaad ki wajah se qaa’im reh kar kaun
takabbur kar raha tha?
Qaum ne Saaleh alaihissalam se mojiza talab kiya
“Tum to hum hi jaise aadmi ho to koi nishaan lao agar sachhe ho, aapne kaha ye
untni hai ek din uske peene ki baari hai aur din muayyan tumhari baari aur ise burai
ke sath na chhu’o ke tumhein bade din ka azaab aayega”.
Mukhtasar waaqiya qaume samood
Qaum e aad ke baad ALLAH TA’ALA ne qaume samood ko aabad kiya unko lambi umrein ata ki
wo pahadon mein badi mahaarat kaarigari se taraash taraash kar ghar banate, Rab ta’ala ne un ko
khushhaal banaya, maali wus’at ata ki to unhone Rab ta’ala ki nafarmani shuru kar di aur zameen
mein fasaad barpa shuru kar diya to ALLAH TA’ALA ne unki taraf Saaleh alaihissalam ko bheja
jo unke qabeela ke ashraaf yaani sardar qabeela se the. Aap alaihissalam ne unhein daraya, unhone
aap alaihissalam se nishani talab ki to aapne farmaya “Tum kaun si nishani talab karte ho? Unhone
kaha tum humare sath humari eid ke programon ke liye shehar se baahar humare sath chalna hum
apne maboodon se dua karenge tum apne maboodon se dua karna jiski dua qabool ho gayi uski
taabedaari karenge”.
Aap alalaihissalam unke sath shehar se baahar tashreef le gaye unhone apne buton se dua ki jo
qabool na ho saki, unke ek sardar “janda bin amar” ne ek akeli chattan ki taraf ishaara kiya jiska
naam “kaafiya” tha usne kaha is chattan se ek untni nikaalo jo haamila ho agar tum ne aisa kar
diya to hum tumhari tasdeeq karenge hazrat Saaleh alaihissalam ne unhein kaha agar main aisa
karu to kya tum zarur imaan laoge? Unhone kaha haan to aap alaihissalam ne nawaafil ada kiye
aur Rab se dua ki ALLAH TA’ALA ne aapki dua ko sharfe qabooliyat bakhsha, wo log dekh rahe
the ke pahadi chattan mein bilkul wo hi kaifiyat paida hui jis tarah kisi janwar par paidaish ke
waqt hoti hai dard ki wajah se karaahna iztiraab waghaira yahan tak ke unke saamne wo chattan
phati usse haamila untni paida hui jiske jism par oon thi pet bada tha aapka mojiza dekh kar “janda
bin amar” aur uske sath chand aur logon ne imaan qabool kar liya baaqi logon ko imaan laane se
zawaab bin amar aur habaab aur rabbab bin sam’ar ne mana kar diya. Yehi donon shakhs unke
buton par muqarrar the yaani butt khana ke naazim the aur teesra shakhs yaani rabbab bin sam’ar
kaahin tha un logon ke saamne hi untni ne bachha jana jo assi untni jitna tha.
Choonki Saaleh alaihissalam ne Rab ke hukm se bayan kar diya tha ke ek din paani peene ki baari
untni ki hogi aur ek din tumhari aur tumhare janwaron aur baaqi jungli janwaron aur parindon
waghaira ki.
Untni apne bachhe ke sath jungle mein charti thi apne baari ke din untni aur uska bachha saara
paani pi jaate the yaani kunwey mein munh rakhti aur uthati us waqt jab paani khatm ho jaata wo
dudh itna zyada deti thi ke wo log peete aur apne bartan bhar lete, wo untni garmiyon mein
tAZKIRATUL AMBIYA Hazrate saaleh
181
waadiyon ke zaahiri hissa mein charti thi to untni ko dekh kar unke janwar waadiyon ke nashebi
andruni hisse mein bhaag kar chale jaate sardiyon mein wo untni nashebi hissa mein charti to unke
janwar bhaag kar waadiyon ke baalai hisse mein aa jaate, unhein is soorat e haal se bahut mushkil
darpesh aa rahi thi unhone us untni ko apni raah se hatane ka faisla kar liya aur ise maar diya jaaye
taaki humein isse najaat haasil ho jaaye.
Untni ki koonche kaat di
“To unhone aapki takzeeb ki phir untni ki koonche kaat di”
Saaleh alaihissalam ne unhein pehle hi bataya tha ke is untni ko burai mein mas na karna warna
tum azaab mein mubtala ho jaoge lekin wo baaz na aaye jab untni ki koonche kaat di to aapne
unhein kaha ke ab azaab qareeb aa chuka hai.
“To unhone uski koonche kaat di to Saaleh (alaihissalam) ne kaha apne gharon mein teen din aur
barat lo (nafa haasil kar lo) ye waada hai ke jhoota na hoga”.
Azaab se pehle teen din
Jab hazrat Saaleh alaihissalam ne unhein daraya ke ab sirf teen din tumhein apne gharon mein
rehna aur nafa haasil karna hai phir tum azaab mein mubtala ho jaoge to qaum ne kaha ke wo teen
din hum par kaise guzrenge? Aapne kaha pehle din tumhare chehre zard rang ke ho jayenge dusre
din unka rang surkh ho jayega aur teesre din syaah ho jayenge chauthe din tum par azaab aa jayega
agarche chehre syaah ho jaane par unhein azaab ka yaqeen aa chuka tha lekin jab tak alaamat par
yaqeen nahin aa raha tha us waqt tak unhein imaan aur tauba ki taufeeq naseeb na ho saki aur jab
unhein yaqeen hua ab tauba karte bhi to iska koi nafa na hota kyun ke na ummeedi ki haalat mein
tauba aur imaan qabool nahin hote.
Sab ki razamandi se ek shakhs ne konche kaati
“Jab iska sabse bada bad-bakht khada hua”
Wo bad-bakht kaun tha?
“Wo bad-bakht Qaddar bin Saalif tha jiska rang surkhi zardi maa’il tha aankhein uski neeli thi qad
uska chhota tha”.
Agarche untni ki konche us ek shakhs ne kaati lekin sab ke mashware aur sabki razamandi se usne
ye kaam kiya isliye Quran paak mein jama ka sigha zikr kiya gaya hai ke sab ne uski konche kaati
yehi wajah thi ke sab hi azaab ke mustahiq huye agar sirf ek ka fe’al hota dusre usey tokte is par
khush na hote to un par azaab na aata.
Hazrat Saaleh alaihissalam ko shaheed karne ka
mansooba
“Aur is shehar mein 9 shakhs the jo fitna wa fasaad barpa karte the us ilaaqa mein aur islaah ki koi
koshish na karte unhone kaha aao Allah ki qasam khakar ye ahed kar lein ke shab khoon maar kar
Saaleh (alaihissalam) aur uske ahle khana ko halaak kar denge phir keh denge uske waaris se ke
hum to (sire se) maujood hi na the jab unhein halaak kiya gaya aur (yaqeen kare) hum bilkul sach
keh rahe hain aur unhone jab khufiya saazish ki aur humne bhi khufiya tadbeer ki wo (humari
tadbeer ko) samajh hi na sake”.
tAZKIRATUL AMBIYA Hazrate saaleh
182
Allama Qurtubi rahmatullah alaihi likhte hain “Unhone ye saazish untni ki konche kaat ne ke
baad ki thi jab hazrat Saaleh alaihissalam ne unhein bataya ke tumhein teen din ki mohlat hai uske
baad tum par azaab aayega jo tumhein barbaad karke rakh dega, bajaye iske ke wo is aakhri saazish
se chaukanne hote aur apne gunahon par naadim hokar gidgida kar maafi maangte unhone ulta
hazrat Saaleh alaihissalam ko qatl karne ki saazish shuru kar di, unhone kaha hum par azaab aayega
to dekha jayega uske aane se pehle hum Saaleh alaihissalam aur uske mureedon ka khatma to kar
dein”.
Jis raat unhone hazrat Saaleh alaihissalam ke makaan par shab khoon maarne ka program banaya
tha us raat ALLAH TA’ALA ne firishton ko apne Rasool ki hifazat ke liye bhej diya, jab ye apni
be niyaam talwarein lehrate huye aap par hamla karne ke liye lapke to firishton ne un par pathraaw
shuru kar diya unhein patthar to nazar aate the lekin maarne wale dikhai nahin dete the, chunanche
un sabko is tarah halaak kar diya gaya aur ye mohlat ki aakhri raat thi chunanche qaum ke baaqi
afraad bhi tabaah wa barbaad kar diye gaye, In sha Allah qareeb hi zikr aa raha hai.
Rab ta’ala ne farmaya teen se lekar das tak ya saat se lekar das tak ka giroh. Is qabeela ke 9 sardar
the unke ladke hazrat Saaleh alaihissalam ki mukhalifat mein humesha sargarm raha karte the har
raiszada ke sath uske madadgaron ki bhi ek toli hua karti thi isliye unhein ٍط
ْ
ھ
َ
ر
ُ
ة
َ
ع
ْسِت se tabeer kiya
gaya hai yaani 9 qabeele (agarche 9 shakhs the). Jab unhone ye dekha ke humari iza rasaniyon ke
bawajood hazrat Saaleh alaihissalam aur unke sathi baaz nahin aaye to unhone ek jagah baith kar
saazish ki ke raat ko bekhabari mein Saaleh alaihissalam aur uske sathiyon par hamla karke unhein
teh tegh kar do agar unke kisi waaris ne humse daryaft kiya to hum unhein yaqeen dila denge ke
humara unke qatl ke sath door ka bhi waasta nahin aur na hi humein uske qatl ka koi ilm hai to
wo khamosh ho jayenge.
Ho sakta hai ke hazrat Saaleh alaihissalam ke waaris kamzor aur ghurba log ho’n to unhone ye
khayaal kiya ho ke unhein kya majaal hogi ke humse wo zyada takraar karein? Is tarah wo khamosh
ho jayenge, Qatl karne ka mansooba banane wale khud tabaah wa barbaad ho gaye. Subhan Allah
maula e kainaat teri qudrat ke kaar naame ajeeb hain.
Qaume samood ke kuffar par azaab e ilaahi
“Pas unhone untni ki koonche kaat di aur apne Rab ke hukm se sarkashi ki aur bole
aey Saaleh (alaihissalam) hum par le aao jiska tum waada de rahe ho agar tum Rasool
ho to unhein zalzala ne aa liya to subah apne gharon mein aundhe pade reh gaye”.
Qaume samood par zameen ka azaab shadeed zalzala tha aur aasmanon ka azaab sakht bijli ki kadak
ya Jibreel ki shadeed haulnaak aawaz thi jiski wajah se unhein tabaah wa barbaad kar diya gaya.
Khayaal rahe ke Quran paak mein qaume samood ke azaab ke liye teen lafz istemaal huye hain:
“To unhein zalzala ne aa liya”
“Aur zaalimon ko chinghaad ne aa liya”
In donon ka matlab to wo hi hai jo bayan kiya ja chuka hai ke zameen mein zalzala aur aasmanon
se garajdaar aawaz thi, unke azaab ke liye teesra lafz ye istemaal hua “Samood to halaak ho gaye
had se guzri hui chinghaad se”
Aala Hazrat Maulana Ahmad Raza Khan Bareilvy rahmatullahi ta’ala alaihi ne is ka tarjuma
“Samood to halaak ho gaye had se guzri hui chinghaad se” kiya. Is se pata chala ke الصیحة aur الطاغیة
tAZKIRATUL AMBIYA Hazrate saaleh
183
se muraad ek hi hai taaham baaz mufassereen ne ye maayne bhi kiya hai ke طاغیة se muraad unke
jaraa’im wa fasadaat ka had se guzarna hai matlab ye hoga ke wo apne had se badhne wale jaraa’im
ki wajah se halaak kiye gaye is maayne ke lihaaz se azaab nahin balki azaab ka sabab hai.
Saaleh alaihissalam aur aapke sath imaan laane walon
ko najaat
“Phir jab humara hukm aaya (yaani azaab aaya) hum ne Saaleh (alaihissalam) aur
uske sath musalmanon ko apni rehmat farma kar bacha liya aur us din ki ruswai se
beshak tumhara Rab qawi izzat wala hai”.
Ye Rab ta’ala ki azeem qudrat hai ke ek hi mulk mein ek hi ilaaqa mein kuffar ko zalzala haulnaak
kadak se tabaah wa barbaad kar diya lekin apne Nabi aur unke sath imaan laane walon ko zara
takleef na hone di kuffar ko zaleel wa khwar kar diya unko ruswa hona pada lekin imaan walon ko
is haulnaak tabaahi aur iski ruswai se bacha liya. Musalmanon ko chahiye ke is waaqiye se ibrat
pakdein aur ALLAH TA’ALA ke azaab se darte rahein aur Rab ta’ala ki azeem qudrat par kaamil
imaan rakhein

Leave a Comment