Hazrat Loot Alaihis Salam

Hazrat Loot Alaihis Salam

 

Hazrat Loot Alaihis Salam Hazrat Ibrahim Alaihis Salam ke bhai Haaran bin Taarikh ke bete hain, yaani Hazrat Ibrahim Alaihis Salam aapke chacha hain, khyal rahe ki Hazrat Ibrahim Alaihis Salam ke chacha ka naam bhi Haaran hai jo ki Hazrate Sarah ke waleed the, wo doosre Haaran hain.

Hazrat Ibrahim Alaihis Salam par sabse pehle Hazrat Loot Alaihis Salam ke imaan laane se ye na samjha jaaye ki maa’z Allah Hazrat Loot Alaihis Salam isse pehle momin na the balke aapki sadaqat par imaan laaye, warna ambiya ikraam ke liye muhaal hai ki ek aan ke liye bhi wo hazraat gunah ki taraf gaye hon.

Chunancha Hazrat Loot Alaihis Salam ka ilaaka Hazrat Ibrahim Alaihis Salam ke bahut kareeb tha isliye aapne apni qaum ko ibaadat ki dawat nahi pesh ki balki sirf buraaiyon se rokate rahe, kuch gunaah aise hue hain jo Hazrat Loot Alaihis Salam ki ummat se shuru huye aur maa’z Allah aaj bhi logo mein paaye jaate hain, unki tafseel hasbe zail hain.

! Iglam baazi yaani mardon ka mardon se sohbat karna
! Kabutar baazi karna ki poora din guzar jaata
! Auraton ki waz’a kat’a ban’ana
! Mardon ka haathon mein mehndi lagana
! Raste mein bait kar aate jaate logon ko tang karna
! Logon mein awaaz ke saath riya khariz karna
! Ek doosre ko thappad maarna
! Hansi mazaak mein logon ko gaali dena
! Sabke samne nange ho jaana
! Har waqt munh mein kuch daal kar chabate rahna

Zara sochiye ki wahi gunaah pehle ke log karte the to aasman se patthar barsat te the to kahin baadal gira diya jaata tha to kahin paani mein gark kar diya jaata tha aur aaj wahi saare gunaah hum bhi karte hain magar hum par patthar nahi barsate, kyun, kyunke hamaare Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam rahmatul lil aalameen hain aur zinda ba hayaat hain jaisa ki khud Maula Ta’ala Quran mein irshaad farmata hai ki “Aur Allah ka kaam nahi ki unhein azaab kare jab tak ke ai mahboob tum unmein tashreef farma ho” (Para 9, Surah Anfal, Ayat 33).

To maanna padega ki Huzoor jinda ba hayaat hain aur apne bando par se azaab ko door farmate hain, magar aisa bhi nahi hai ki ab chahe jitne gunaah karo saza to milti nahi hai, nahi balki jaise hi saans tootegi agar gunahgaar honge to azaab musallat kar diya jayega, lihaza agar azaab se bachna chahte hain to sacche dil se tauba karein aur nek amal ikhtiyaar karein.

Jab qaum ke gunaah hadd se zyada badh gaye to Maula ne farishto ko azaab lekar qaum ki taraf bheja to wo farishte sabse pehle Hazrat Ibrahim Alaihis Salam ke paas pahunch gaye, aapke ghar 15 din se koi mehmaan nahi aaya tha foran aapne ek bhuna hua bachra pesh kiya jab un logon ne khaane mein haath nahi daala to aap samajh gaye ki ye farishte hain, aur aapka khauf khana is liye nahi tha ki maa’z Allah aapko apni halaqat ka khauf tha balki apni ummat par azaab padne ka khauf hua, farishto ne jab ye kaha ki khauf na karen ki hum aapki ummat par nahi bheje gaye balke hum Hazrat Loot Alaihis Salam ki ummat par azaab lekar aaye hain to aapko unki ummat ki fikr daamnagi hui aur un par se bhi azaab ko taalne ki koshish ki, jiske bare mein Maula Ta’ala Quran Muqaddas mein farmata hai ki “Hamsa qaume Loot ke baare mein jhagadne laga… Ai Ibrahim is khayal mein na parh, beshak tere Rab ka hukm aa chuka beshak un par azaab aane wala hai, phira na jaayega” jab aapne jaan liya ki ye qazaa-e-mubram haqiqi hai to aap khamosh ho gaye.

Phir wo farishte Hazrat Loot Alaihis Salam ke paas pahunch gaye aur aapse basti chhod dene ko kaha magar aapki biwi jiska naam Vaahela tha ye kaafira thi usko saath lene ko mana kiya, jab farishte insaani surat mein Hazrat Loot Alaihis Salam ke paas pahunch e to qaum apni ayyaashiyon ke sabab khoobsurat mardon ko dekhkar Hazrat Loot Alaihis Salam ke ghar par jama ho gaye aur unse milne ko kehne lage, jis par Hazrat Loot Alaihis Salam ne unko samjhaaya ki ye tumhari biwiyan meri qaum ki betiyaan hain unka tum par haq hai use ada karo kyun is gunaah mein padte ho, magar wo nahi maane to farishto ne arz kiya aap ghabrayen nahi hum aam ladke nahi hain ki ye humko daboch lenge, Hazrat Loot Alaihis Salam apne ghar waalon ko lekar nikal gaye peechay farishton ne us pure ilaake ko jisme 5 bastiyan aabaad thi yani Saadoon, Umurah, Auma, Zabuim aur sabse badi basti Sadoom jise Quran ne mautafiqat se taabeer kiya hai sabko uthaakar palat diya aur aasmanon se pattharon ki baarish kar di ki har patthar par uske marne waale ka naam likha hota tha jisk ko lagta wahi dher ho jaata.


Comments

One response to “Hazrat Loot Alaihis Salam”

  1. Hi, this is a comment.
    To get started with moderating, editing, and deleting comments, please visit the Comments screen in the dashboard.
    Commenter avatars come from Gravatar.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *