Hazrat Yaqoob Alaihis Salam

Hazrat Yaqoob Alaihis Salam

 

 

Hazrat Yaqoob Alaihis Salam ka asli naam Isra’il hai aur Yaqoob se is liye mashhur hue ki Yaqoob aqab se bana hai jiske maayne hote hain edi, chunki aapke saath aapke ek bhai Is bhi paida hue jinki edi se aapke dono haath lage hue the isliye aapka laqab Yaqoob mashhur hua. Is ke saath ek aur dilchasp baat ye hui ki wo aap hi ke saath paida hue aapke hi saath unka visaal hua aur aapki qabr mein hi aapke saath dafn kiye gaye.

Aapke walid ka naam Hazrat Ishaq Alaihis Salam hai aur aapke dada Hazrat Ibrahim Alaihis Salam aur nana Hazrat Loot Alaihis Salam hain.

Aapne 4 shaadiyaan ki jinse aapko 12 aulaadein hui, unke naam hasbe zail hain Yahoode, Rubil, Shamuun, Laadi, Riyaaloon, Yashjar, aur Deenah. Ye 7 aulaadein aapki zaauja Liya bin Liyaan bin Faaher se hui, Daan aur Yafataal Zalkaah ke batan se, Jaad Balhaatah ke batan se, aur Hazrat Yusuf Alaihis Salam aur Binyameen Rahil ke batan se paida hue.

Aap apne 12 beton mein sabse zyada muhabbat Hazrat Yusuf Alaihis Salam se karte the kyun ki aapko pata tha ki inhi ko aapke baad nubuwwat milni hai aur Binyameen ko is liye ki wo sabse chhote the, isi hasad ki wajah se Hazrat Yusuf Alaihis Salam ke bhaiyon ne Hazrat Yusuf Alaihis Salam ko aapke baap se juda kar diya jinke firaaq mein Hazrat Yaqoob Alaihis Salam 80 saal tak rote rahe jis se ki aapki aankhon ki raushni tak chali gayi.

Jab aapka visaal hua to Hazrat Yusuf Alaihis Salam ko bahut gham laahiq hua aur aap poore mulk se hukama aur atibba ko bulwaakar aapko dikhate rahe, is tarah aapka jasad mubaarak 40 dino tak yunhi rakha gaya uske baad aapko dafnaaya gaya.

Aapki umr 145 saal hui aur aapko shahr Jabroon mein aapke aaba aur ajdaad ke pahlu mein dafn kiya gaya.


Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *