Khawaja Gharib Nawaz

Khawaja Gharib Nawaz (رضي الله عنه) – Part 1

Khawajaye Hind wo darbar hai aala tera
Kabhi mahroom nahin maangne wala tera

Name – Moinuddin Hasan

Laqab – Hindal Wali, Gharib Nawaz

Walid – Sayyad Gayaas Uddin Hasan

Walida – Bibi Ummul Wara (Mahe Noor)

Wiladat – 530 Hijri, Khurasan

Wisal – 6 Rajab 633 Hijri, Ajmer Sharif

Walid ki taraf se aapka silsila nasab is tarah hai: Moinuddin bin Gayaas Uddin bin Najmuddin bin Ibrahim bin Idris bin Imam Musa Kazim bin Imam Jafar Sadiq bin Imam Baqar bin Imam Zainul Abideen bin Sayyadna Imam Hussain bin Sayyadna Maula Ali Razi Allah Ta’ala Anhum Ajma’een.

Walida ki taraf se aapka nasab nama yun hai: Bibi Ummul Wara bint Sayyad Daoud bin Abdullah Hambali bin Zahid bin Musa bin Abdullah Makfi bin Hasan Musanna bin Sayyadna Imam Hasan bin Sayyadna Maula Ali Razi Allah Ta’ala Anhum Ajma’een, goya ki aap Husaini Hussaini Sayyad hain.

Aapki walida farmati hain ki jis din se mere shikam mein Moinuddin ke jism mein rooh daali gayi us din se ye mamool ho gaya ki rozana aadhi raat ke baad se subah tak mere shikam se tasbeeh aur tahleel ki awaz aati raheti, aur jab aapki wiladat hui to poora ghar noor se bhar gaya, aapke walid ek jadeed alim the aur aapki ibtedai taleem ghar par hi hui yahan tak ki 9 saal ki umr mein aapne poora Quran hifz kar liya, maan ka saaya to bachpan mein hi uth gaya tha aur 15 saal ki umr mein walid ka bhi wisal ho gaya.

Walid ke tarkay mein ek panchakki aur ek bagh aapko mila jisse aapki guzar basar hoti thi, ek din us bagh mein darvesh Hazrat Ibrahim Kandozi aaye, Gharib Nawaz ne unhe angoor ka ek khosha tod kar diya, Hazrat Ibrahim Sarkar Gharib Nawaz ko dekhkar samajh gaye ki inhe bas ek rahnuma ki talash hai jo aaj ek bagh ko seench raha hai kal wo laakhon ke imaan ki hifazat karega, aapne fal ka tukda chabaakar Gharib Nawaz ko de diya jaise hi Sarkar Gharib Nawaz ne use khaya to dil ki duniya hi badal gayi, Hazrat Ibrahim to chale gaye magar deen ka jazba ghaleb aa chuka tha, aapne bagh ko bechkar gareebon mein paisa baant diya, Khurasan se Samarqand phir Bukhara Iraq pahunchen aur apne ilm ki takmeel ki.

Aap ek murshide haq ki talash mein nikal pade aur Iran ke Nishapur ke qareeb ek basti hai jiska naam Haroonabad hai, jab aap wahan pahunchen to Hazrat Khwaja Usman Harooni Raziallahu Ta’ala Anhu ko dekha aur unhone aapko, “Murshide Barhaq ne dekhte hi farmaya ki Aao beta jaldi karo main tumhara hi intezaar kar raha tha apna hissa le jao” halanki isse pahle donon ki aapas mein kabhi koi mulaqat nahi hui thi, khud Sarkar Gharib Nawaz Raziallahu Ta’ala Anhu farmate hain ki “Jab main us mehfil mein pahuncha to bade bade mashaykh baihte hue the main bhi wahan jakar baith gaya to Hazrat ne farmaya ki 2 rakat namaz nafl parho maine parha phir kaha kibla ru hokar Surah Baqar ki tilawat karo maine ki phir farmaya 60 martaba Subhanallah kaho maine kaha phir mujhe ek choga pehnaya aur kalaah mere sir par rakhi aur farmaya ki 1000 bar Surah Ikhlas parho maine parhi phir pucha ki ab kya dikhata hai maine kaha ki ab mere samne 18000 aalamein hain farmate hain ki ab tera kaam ho gaya” uske baad bhi Sarkar Gharib Nawaz 20 saal tak apne murshid ke saath hi rahe.


Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *