Hazrat Shoaib alaihissalam

Hazrat Shoaib alaihissalam Hazrat Shoaib alaihissalam ko do qaumon ki taraf Rasool bana kar bheja gaya ek “madyan” aur dusre “as’haabe ika”, aap choonki madyan qabeela se the isliye jab madyan ka zikr hua to farmaya “Aur madyan ki biradari se Shoaib alaihissalam ko bheja” aur as’haabe ika ke zikr mein اخوھم nahin kaha balki … Read more

Hazrat Ashmoo’il alaihissalam

Hazrat Ashmoo’il alaihissalam “Aey mehboob kya tumne na dekha bani israel ke ek giroh ko jo Moosa alaihissalam ke baad hua jab apne ek Nabi se bole humare liye ek badshah muqarrar kar do ke hum khuda ki raah mein ladein, Nabi ne farmaya kya tumhare andaaz aise hain ke tum par jihaad farz kiya … Read more

Hazrat Dawood alaihissalam, hazrat Suleman

Hazrat Dawood alaihissalam, hazrat Suleman alaihissalam Hazrat Dawood alaihissalam ne 100 saal umr paai, aap Moosa alaihissalam se 599 saal baad tashreef laaye (iske deegar aqwaal bhi manqool hain). Hazrat Suleman alaihissalam hazrat Dawood alaihissalam ke bete hain aap ne 59 saal umr paai, ye Nabi Kareem صلى الله عليه وسلم se 1700 pehle tashreef … Read more

Hazrat Zulkifl aur hazrat Yasa’a

Hazrat Zulkifl aur hazrat Yasa’a alaihimussalam “Yaad karo Ismail aur Yasa’a aur Zulkifl (alaihimussalam) ko aur sab achhe hain” Hazrat Zulkifl alaihissalam Aapka naam Bashar hai ya Sharaf hai, aap hazrat Ayyub alaihissalam ke bete hain aapke mutalliq aur bhi mukhtalif aqwaal hain taaham isi qaule mazkoor ki taraf zyada rujhaan hai. ALLAH TA’ALA ne … Read more

Hazrat Ayyub alaihissalam

Hazrat Ayyub alaihissalam “Aur Ayyub (alaihissalam) (ko yaad karo) jab usne apne Rab ko pukara ke mujhe takleef pahunchi aur too sab reham karne walon se badh kar reham karne wala hai to hum ne uski dua sun li to hum ne door kar di jo takleef usey thi aur hum ne usey ghar wale … Read more

Hazrat Saaleh alaihissalam

Hazrat Saaleh alaihissalam Hazrat Saaleh alaihissalam qaume samood ki taraf aaye aap alaihissalam bhi samood qaum se hi hain, “samood” ek shakhs ka naam tha uski aulaad qaume samood kehlai. Samood ka nasab Nooh alaihissalam se milta hai yaani samood bin aabir bin iram bin saam bin Nooh aur hazrat Saaleh alaihissalam ka nasab is … Read more

Hazrat Hood alaihissalam

Hazrat Hood alaihissalam Hazrat Hood alaihissalam “aad” qabeela se hain isi qabeela ko “aad aula” kaha gaya hai aur aade saniya hazrat Saaleh alaihissalam ki qaum ko kaha jaata hai jo qaume samood ke naam se zyada mashhoor hai. Hazrat Nooh alaihissalam ki aulaad mein se ek shakhs ka naam “aad” tha uski taraf mansoob … Read more

Hazrat Yaqoob wa hazrat Yusuf alaihissalam

Hazrat Yaqoob wa hazrat Yusuf alaihissalam Hazrat Yaqoob alaihissalam Is’haaq alaihissalam ke bete aur hazrat Ibrahim alaihissalam ke pote hain aur hazrat Yusuf alaihissalam hazrat Yaqoob alaihissalam ke bete hain. Hazrat Ibne Umar radiallaho ta’ala anhum se marwi hai ke Rasoolullah صلى الله عليه وسلم ne farmaya “Kareem ibne kareem ibne kareem ibne kareem Yusuf … Read more

Hazrat Looth alaihissalam

Hazrat Looth alaihissalam Irshade baari ta’ala hai “To imaan laaye un par Looth” “Hazrat Ibrahim alaihissalam ki tamam baaton ki aap alaihissalam ne tasdeeq farmai aur aapke daawa e nubuwat ki tasdeeq farmai”. Tamam Ambiya -e- kiraam nubuwat se pehle aur nubuwat ke baad gunahon se paak hote hain isliye yahan ye maayne (matlab) nahin … Read more

Hazrat Ibrahim wa Ismail wa Is’haaq

Hazrat Ibrahim wa Ismail wa Is’haaq alaihimussalam Hazrat Ismail aur Hazrat Is’haaq alaihimassalam donon hazrat Ibrahim alaihissalam ke bete hain, Hazrat Is’haaq alaihissalam ki walida ka naam Hazrat Saara radiallaho ta’ala anha aur Hazrat Ismail alaihissalam ki walida ka naam Hazrat Haajra radiallaho ta’ala anha hai. Hazrat Ibrahim alaihissalam ka nasab Aap Taarakh ibne Nakhoor … Read more